5 Tips Apne Private Parts Ko Clean aur Healthy Rakhne Ke Liye

10-11

Mere private parts mein aksar itching aur burning si feel hoti hain. Kabhi kabhi ek alag si smell bhi aati hain. Nahane ke baad yeh smell kuch time ke liye kamm ho jaati hain but fir wapas aa jaati hain. Friends aur mummy se baat karne mein mujhe sharam aa rahi hain toh main soch rahi hu ki kisi online lady doctor se consult karu. Kya aapke paas koi suggestions hain meri problem ke liye?

  • An 18-year-old girl from Allahabad

Hello!

Humein khushi hai ki tumne humse apne itne personal sawaal poochein aur hum par itna trust kiya.

Tumhari embarrassment hum samajh sakte hain, aur kuch bolne se pehle bas yahi kahenge ki tumhein embarrass feel karne ki koi zaroorat nahi hai. Apni body ke baare mein jaanana aur apni body ka khayaal rakhna tumhara haq hain, isiliye sawaal poocho bina kisi hichkichahat ke. Kuch bhi ho jaaye, hum tumhare saath hain aur tumhare saare sawalon ke sahi jawaab tumhein dene ki apni best koshish karenge.

Ab aate hain tumhare sawaal par, private parts mein itching, burning ya smell aana infection ke signs ho sakte hain. Infections ka hona ya na hona mostly tumhari personal hygiene pe depend karta hain. Isliye apne private part ki hygiene aur health pe dhyaan dena utna hi zaroori hain jitna ki baaki body parts par.

Apne private parts ki hygiene maintain naa karne se tum skin problems aur stomach infections bhi face kar sakti ho. Apne private parts ko healthy rakhna tumhari overall health acchi rakhne ke liye bahut important hain.

Ab baat karte hain healthy private parts ke baare mein.

Private parts ki cleaning acchi naa hone ke signs:

Kisi bhi problem ko address karne se pehle zaroori hain ki problem ko identify kiya jaaye. Toh hum pehle baat karte hain un signs ki jo ye batate hain ki private parts ki health decline ho rahi hain:

  • Vaginal discharge ka colour change hona ya smell badalna
  • Private parts mein redness ya itchiness feel karna
  • Do periods ke beech mein , ya sex ke baad bleeding hona
  • Sex ke time pain feel karna
  • Private part mein bulge yaa gaanth feel karna

In problems ka hona indicate karta hain ke tumhein STIs, UTI ya infections jaisi problems ho sakti hain. Agar tumhein ye saare symptoms mein se koi ek bhi dikhaai deta hain toh bahut zaroori hain ki tum ek online lady doctor ko consult karo. In issues ko ignore karne se tumhari problem aur serious ho sakti hain aur tumhari overall health pe bhi asar padd sakta hain.

Private parts ko healthy rakhna bahut hi simple hain. Hum tumhare liye kuch suggestions laaye hain jinko follow karke tum apne private parts ko healthy rakh sakti ho. Lekin yeh bhi dhyaan rakhna ki agar in tips ko follow karne ke baad bhiagar tumhein lagta hain ki tumhari problem door nahi ho rahi, toh tumhe ek lady doctor se consult karna chahiye. Lady doctor se consult karke tumhari problem bhi theek ho jaayegi, tumhari health acchi rahegi aur doctor and tumhaare beech ki baat bahar nahi jayegi.

Apne private parts ko clean aur healthy kaise rakhe:

Generally vagina ek self-cleaning organ hain yaani ke ye khud ko apne aap saaf karti hain. Isliye hamare private parts se white discharge nikalta hain. Tumhari body apna khayal rakhti hain toh tumhein bhi uska utna hi dhyaan rakhna chahiye. Apni body ko kaise support karna hain jaanane ke liye neeche diye hue tips ko follow karo:


Private part se white discharge ka nikalna

  • Private parts ki cleaning

Jaise humne upar bataya tumhari vagina apne aap ko khud saaf karti hain. Tumhe apne private parts ko alag se kuch special tareeke se saaf karne ki zaroorat nahi hain. Especially perfumed soaps aur intimate washes jaisi cheezon se dur raho. Tum apne private parts ko nahaate waqt gently plain aur lukewarm water se aur mild unscented soap se saaf kar sakti ho. Periods ke time din mein ek baar se zyaada bhi saaf karna theek rahega, lekin regular days pe din mein ek baar se zyaada apne aap ko wash karna tumhare private parts ko dry ya irritate kar sakta hain.

  • Scented wipes aur vaginal creams ya deodorants avoid karein

Koi bhi scented product tumhare vaginal pH ko disrupt kar sakta hain isliye zaroori hain ki tum aise products se dur raho. Kyonki inke bina bhi tumhari vagina ki smell normal hain. Private parts mein se flowers ya fruits ki tarah khushbu nahi aati hain , vagina bass vagina ki tarah smell karti hain jo ki normal hain. Vagina ki smell cycle ke different times pe change zaroor hoti hain par har baar infection ya illness ka sign nahi hoti. Fir bhi accha hain ki tum apne peace of mind ke liye ek lady doctor se consult karo.

  • Safe sex practice karein

10-13

Sex ke waqt bhi tumhare private parts mein bacteria ya virus transfer ho sakte hain. Isiliye khud ko safe rakhne ke liye humesha condoms ka use karna zaroori hain. Condoms sirf pregnancies se hi nahi but bohot se sexual diseases aur infections se bhi protect karte hain.

  • Pubic hair poori tarah se na remove karein

10-14

Although pubic hair rakhna ya na rakhna tumhari apni choice hain, health ke point se dekha jaaye toh private parts ko protect karne mein sabse bada role tumhare pubic hair ka hain. Ye bacteria ko toh baahar rakhta hi hain saath hi friction aur sweat se bhi bachata hain. Agar tumhe baal remove karne hi hain, toh hum suggest karenge ki trim karo ya fir natural shaving creams ka use karo.

  • Lifestyle theek rakhna

Tumhari daily lifestyle se bhi tumhari private parts ki health affect hoti hain. Sabse zaroori hain tumhari diet. Aisi cheezein khao jo anti-oxidants se bhari ho aur apne aap ko hamesha hydrated rakho. Apne underwear ko acche se dhone ki aadat dalo aur cotton underwear use karo. Lastly, regular exercise karne ki habit daalo. Regular exercise se tumhari body ke toxins easily nikalte hain aur koi internal problem nahi hoti.

10-15

Healthy private parts ka matlab hain ki healthy body, mind aur tum. Agar tumhe zaroorat pade toh bina hesitation ke aaj hi ek lady doctor se baat karo. Hum samajhte hain ki yeh ek intimidating kaam hain lekin yaad rakho ki apne private parts ko discuss karna koi sharam ki baat nahi hain kyunki yeh bhi humaari body ka hi part hain. Agar cold ya fever hone pe humein koi embarrassment nahi hoti toh fir ismein kaisi sharam? Aur jaankari ke liye aap hummare saath WhatsApp pe bhi khul ke baat kar sakte hain.

Yaad hain na tumhe? Chhaa Jaa ke saath no sharmana no ghabrana!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392