Kya Bahut Painful Periods Hona Normal Hai? (Endometriosis)

Endometriosis

Mere periods bahot irregular ho rahe hain, aur periods mein pet dard bahut zyada hota hai. Mein periods ke time itna pain feel karti hun ki apna daily routine tak follow nahi kar paati, mujhe bahut zyada bloating bhi hoti hai aur constipation ki bhi problem rehti hai.

Kya mujhe lady doctor se consult karna chahiye? Mujhe samajh nahi aa raha ki main kya karun?

- 18 years old girl, Jaipur

Hi!

Sabse pehle toh thank you hum par trust karke apna personal sawaal poochne ke liye!

Tum toh jaanti hi ho ki periods ke baare mein khul ke baat karne se hum sab kitna hichkichate hain. Aur isi jhijhak ki wajah se humaari periods se judi problems solve bhi nahi ho paati balki badh aur jaati hai.

Par humpe trust karke apni problem share karne ke liye tumhe bada wala thank you!

Ab baat karte hain tumhaare sawaal ke baare mein, agar tumhare periods irregularly ho rahe hain aur tumhara period mein pet dard itna zyada ho raha hai ki tum apne daily waale kaam tak nahi kar paati toh tumhein ek lady doctor se consult zaroor karna chahiye.

Dekho jab humein fever ya koi aur health problem hoti hai tab toh hum fatafat doctor ke paas chale jaate hain. Bilkul usi tarah apni reprodutive health mein agar problem aaye toh bhi solution dhoondhane ke liye humein lady doctor ke paas jaana chahiye.

Periods mein pet dard hona vaise normal hai, lekin har kisi ke pain ka level different hota hai, kisi ko kam pain ya na ke barabar pain hota hai toh kisi ko bahut zyada pain hota hai. But hadd se zyada pain aur unusual pain experience karna jis ki vajah se tum apna daily routine tak follow nahi kar sako - ye normal nahi hai.


In Blog imagedsfs 1.jpg


Agar tumhein periods mein pet dard bahut zyada ho raha hai aur tum soch rahi ho ki period ka dard kaise kam kare toh tum ye niche diye hue tips bhi use kar sakti ho:

  • Garam paani se sikai - Garam paani ko hot water bottle mein ya heating pad mein dal kar jahan dard hai vahan sikai karo, aisa karne se tumhara period pain thoda kam ho jaayega.
  • Exercise - Periods ke time exercise karne ka mann toh kisi ka bhi nahi hota but halki exercises, jaise yoga ya walk karne se tumhara period mein pet dard kam hoga.


In Blog image 2.jpg


Periods ke time pe thoda bahot pet dard hona normal hai lekin pain dheere dheere agar badhne lage aur koi bhi exercise ya gharelu nuskhe se theek nahi ho ya phir medicine khaane ke baad hi thoda sa aaram aaye toh in baaton ko ignore matt karo.

Agar tumhein bhi lagta hai ki tumhara period mein pet dard bahot zyada ho raha hai ya heavy blooding ho rahi hai, aur ye sab tips use karne ke baad bhi tumhein kaafi pareshani ho rahi hai aur tum jaanana chahti hoki period mein pain ho to kya kare? - toh tumhein ek lady doctor se consultation leni chahiye kyonki bahot zyada pain endometriosis ya fibroids ke symptoms ho sakte hain.

Bahut zyada painful periods kis karan se ho sakte hain?

Thoda bahot period pain har koi experience kartahai but, regularly bahut zyada period pain hona, kisi bade health concern ka symptom ho sakta hai. Health concerns jaise:

  • Fibroids : Ye ek type ke non - cancerous tissues hain jo uterus ke andar ya uske aas paas develop ho jaate hain. Inki wajah se painful periods bhi hone lagte hain.
  • Endometriosis : Ye ek problem hai jismein ek tissue jo uterus ki endometrium ki lining jaisa hota hai, uterus ki jagah kahin aur, jaise ki fallopian tube, mein develop hone lag jaata hai. Is wajah se majority of girls bahot painful periods experience karti hain.
  • Polycystic ovary syndrome (PCOS): Ye ovaries ki hormonal abnormality ki wajah se hota hai aur iske hone par bahot irregular, painful aur heavy periods hotekarti hain.
  • Endometrial polyps: Ek tarah ke non - cancerous tissue hote hain jo cervix par develop ho saktehain aur is wajah se bhi painful periods hote hain.
  • Womb (uterus) cancer: Isko Endometrial Cancer bhi bolte hai jo uterus ke andar ki lining mein develop hota hai aur painful periods cause karta hai.


In Blog image 3.jpg



Yaad rakho, problem hote hi ek lady doctor yaani ki lady gynaecologist se bina kisi hichkichahat periods se judi kisi bhi problem ke liye consult karna chahiye. Ye specialist tumhari problems ka sahi solution bhi denge aur toh aur tumhari private baatein private hi rahengi. Agar tum bahot hi painful period experience kar rahi ho toh jald ek lady doctor se consult karo, kyuki Chhaa Jaa ke sath no sharmana, no ghabrana!