PCOD Aur PCOS Ko Theek Kaise Karein? Kya Iske Liye Lady Doctor Se Consult Karna Zaroori Hai?

Cover image855.jpg


Mere periods hamesha se irregular rahe hain aur meri skin bhi kaafi red and acne waali rehti hai. Mera weight as such fluctuate nahi karta but kabhi kabhi mujhe lagta hai ki mujhe PCOS ya PCOD toh nahi. Isko theek kaise kiya jaaye? Kya mujhe lady doctor se consult karne ki zaroorat hai?

  • 20 year old girl from Pune

Hi!

Tumhare sawal ka jawab dene se pehle hum kehna chahte hain ki humein bahut khushi hui ki tumne humse apna itna personal sawal poocha. Thank you hum pe trust karne ke liye!

Sabse pehli baat hai ki tumhare saath jo bhi ho raha hai uske liye tumhein akele stress lene ki zaroorat nahi hai, hum tumhare saath hain. Humein ye dekh ke khushi hui ki tumne apna sawaal bina kisi hesitation ke khul kar pucha. Apni body ko healthy rakhne ke liye bahut zaroori hai ki tum apni body ke baare mein acche se jaano. Hamesha aise hi bina kisi hichkichahat ke sawal poochti rehna.

Ab aate hain tumhare sawal par - dekho, baat ye hai ki pehle humein samajhna hoga ki PCOS aur PCOD exactly hota kya hai:

PCOD (Polycystic Ovarian Disease) mein ovaries bahut saari immature ya partially mature eggs release karti hain jo ke time ke saath cyst mein badal jaate hain.

PCOS (Polycystic Ovarian Syndrome) mein ovaries normal se zyaada amount mein androgen release karti hain jo ki tumharibody mein eggs ki development aur release mein problems create karta hai. Inmein se kuch eggs cyst bann jaate hain aur ovulation ke samay release hone ki jagah body mein hi reh jaate hain.


In blog image 8521.jpg


PCOS aur PCOD ke kuch common symptoms

  • Acne
  • Weight gain karne mein ya lose karne mein dikkat
  • Face aur body (jaise chest, belly ya back) pe kaafi zyaada baal
  • Hairfall hona
  • Periods irregular hona
  • Depression
  • Fertility problems hona
  • Skin dark ho jaana
  • Headaches frequently hona

Agar humaari suno toh hum advice karenge ki inme se koi bhi symptoms agar tum notice karti ho toh definitely ek lady doctor se cosult karo. Treatment se pehle diagnosis zaroori hai aur atleast tumhein pata chal jayega ki koi aur health issue hain ya fir sach mein PCOS/PCOD hi hai.

In blog image8692.jpg


Jahan tak baat hai diagnosis ki, aisa koi ek test hai nahi jo tumhein bata sake ki tumhein PCOD ya PCOS hai. Tumhaari lady doctor tumse tumhaare symptoms ke baare mein poochegi aur physically examine karengi. Is process mein tumhaari lady doctor doosre health conditions ko rule out kar sakti hain lekin zaroori hai ki tum bina hesitation aur sharam ke ekdum honest jawaab do. Tumhari family history aur tumhari apni medical history ka tumhare diagnosis pe kaafi asar padta hai. Tumhari lady doctor PCOS/PCOD ka diagnosis tab hi dengi jab in 3 mei se tumhein koi 2 symptoms ho.

  • Irregular periods
  • Body mein androgen levels zyada hona, jo ki blood test se pata chalta hain
  • Ultrasound exam mei tumhari ovaries mein cysts ka dikhna


In blog image fdf3.jpg


Iske alawa tumhari lady doctor tumhaara blood pressure, BMI (Body Mass Index) aur waist size bhi check karengi. Pelvic exam ki zaroorat padi toh woh tumhaari body ke kuch organs ko check karengi jaise ki tumhari cervix, vagina, uterus, fallopian tubes, ovaries aur rectum.

PCOD ya PCOS ke liye treatment

PCOS ya PCOD ka koi cure nahi hai, lekin in conditions ko lifestyle changes ke saath maintain kiya ja sakta hai. In conditions ko manage karna zaroori isliye hai kyunki long term mein tumhein doosre health complications avoid karne mein aasani hogi. Treatment na lene se tumhein aage jaake diabetes, heart problems aur infertility jaisi dikkatein ho sakti hain. PCOS/PCOD ko poori tarah se theek bhale hi naa kar sake but kuch important factors hain jo isko manage karne ka kaam bahut easy kar deti hain.

Lifestyle change karna

Acche lifestyle ka matlab hai aisa lifestyle jo tumhein physically aur mentally healthy rakhe. So bahut important hai ki tum acche se khaao aur regularly exercise karne ki aadat banao. PCOS blood sugar levels badha sakta hai toh tumhari online lady doctor shayad tumhein fried and meetha kam khaane ko kahe. Recommended hain ki tum aisi cheezein khaao jo fiber rich ho. Exercise karna bhi tumhaari blood sugar levels aur insulin levels ko control mein rakhega.

In blog image dffsd4.jpg


Medication

Tumhaari menstrual cycles ko regulate karne ke liye tumhaari online lady doctor shayad medication bhi recommend kare jo ki do tarah ki hoti hai. Lady doctors aksar medical treatment birth control pills aur progestin therapy ke saath karti hain.

Birth Control Pills: in pills mein estrogen (female hormones) aur progestin rehte hain jo ki tumhaari body mein androgen production ko kam karte hain. Tumhare hormones ko regulate karne se endometrial cancer ka risk bhi kam ho jaata hai aur irregular menstrual cycle bhi apne aap sahi hota hai.


In blog image 5.jpg


Progestin Therapy: ek ya do mahino ke liye 10-14 din progestin lene se tumhaare periods regular hone lagte hain. Progestin therapy se androgen levels improve nahi hote, aur naa hi yeh pregnancy se tumhe safe rakhta hai.

Yeh do medication methods alag alag hain but iske alawa bhi tumhaari lady doctor tumhein symptoms pe depending medication pe daal sakti hain jaise ki hair loss ke liye alag medication aur abnormal hair growth ke liye alag medication.


In blog image 6.jpg


Kya lady doctor ke paas jaana zaroori hai?

Jawaab hai, haan. PCOD/PCOS ka treatment bhale hi kyu na apni lifestyle theek karne se ho, lekin is process ko bhi apni lady doctor ke saath discuss karke plan karna chahiye. Aur usse pehle aata hai diagnosis. PCOS/PCOD aisi conditions hain jo ki diagnose karne ke baad hi solve ki jaa sakti hain aur inko diagnose karne mein tumhein apni lady doctor ki help zaroor chahiye.


In blog image 7.jpg


Hum jaante hain ki lady doctor ke paas jaana ek scary experience ho sakta hai lekin tumhaari body ka khayal tum nahi rakhogi toh kaise chalega? Aakhir tum toh ek brave ladki ho! Zaroorat padne par online lady doctor ke saath consult karo. Yaad rakho ki tum akeli nahi ho aur iss process ke har step mein hum tumhaare saath hain.

Toh ab dil khol ke humse sawal pucho aur un sawalon ke sahi jawab bhi pao, kyunki Chhaa Jaa ke saath no sharmana and no ghabrana!