PCOS Aur PCOD Kya Hota Hai? Kya PCOS Aur PCOD Ke Liye Lady Gynecologist Se Consult Karna Zaroori Hai?

Cover image.jpg


Mere periods irregular ho rahe hain, aur jab periods hote hain tab bahut heavy flow hota hai jo bahut painful bhi hota hai. Mera weight bhi pehle se zyada gain ho gya hai aur acne hone laga hai. Mujhe samajh nahi aa raha ki ek dum se aisa kyun ho raha hai. Iss wajah se maine apne friends se milna bhi kamm kar diya hai. Kya mujhe lady doctor ko dikhane ki zaroorat hai?

- 21 years old girl, Lucknow

Hi!

Sabse pahle toh bade wala thank you hum pe trust karke itna personal sawal puchne ke liye!

Tumhein toh pata hai periods ke baare mein baat karne se aur usse related problems share karne mein aksar hum sab bahut hichkichate hain. Aur is hichkichahat ke chakkar mein humaari problems solve nahi hoti, takleef aur badh jaati hai, yahan tak ki kabhi kabhi life tak danger mein pad sakti hai.

Par tumne humse apni problem share ki, hum pe trust kiya, isliye thank you!

Ab aate hain tumhaare sawaal par. Agar periods irregularly ho rahe hain aur periods ke time par bahut dard ya uncomfortable feel ho raha hai, toh aise mein bahut zaroori hai ki tum ek gynecologist ke paas ja kar apni problem discuss karo.

Ab dekho, ek acchi aur healthy life jeene ke liye hamare private parts aur reproductive system ka healthy hona zaroori hota hai. Jab hum fever hone par doctor se salah le sakte hain waise hi humein apne periods se related problems ke liye bhi lady doctor se salah bina kisi darr aur sharam ke leni chahiye.

In Blog Image 1.jpg


Lady doctor ya gynecologist, woh doctors hai jo female reproductive system aur private parts ke baare mein expert hote hain. Ek lady doctor ek specialist hai jo tumhare private health problems ka sahi solution denge aur tumhare beech ki saari baatein confidential yaani private bhi rakhenge.

PCOD aur PCOS kya hota hai?

Kya PCOD aur PCOS same hai? Aksar hum in dono conditions ko same hi samjhte hain par ye dono hi alag alag conditions hain jo ladkiyon ko affect karti hain. PCOD aur PCOS mein kaafi similarities bhi hain jaise ki hormonal disturbances hona ya ovaries se related issues hona.

Lekin PCOD aur PCOS exactly kya hai?

In Blog Image 2.jpg


Toh chalo, in dono conditions ke baare mein acche se jaante hai:

PCOD kya hai?

PCOD (Polycystic Ovarian Disease) 12-45 saal ki laghbhag 5 se 10 percent girls and women ko affect karti hai.

Ye toh tumhein pata hi hoga ki hum ladkiyon ke pass 2 ovaries hoti hai jo alternatively har mahine egg release karti hai. Periods ke waqt humari ovaries androgen naam ka ek male hormone release karti hain. PCOD ek aisi condition hai jis mein ovaries poore tareeke se mature nahi hue eggs release karti hain jo dheere dheere cyst ban jaate hai, uske saath saath ovaries badi ho jati hai aur zyada androgen release karne lagti hai jisse periods aur fertility ki problem ho sakti hai.

Toh phir ab PCOS kya hai?

PCOS yaani Polycystic Ovarian Syndrome mein bhi hamaari ovaries zyada androgen hormones release karti hai jo humare eggs ki development aur release hone ke process mein dikkat karta hai, in mein se hi kuch eggs cyst mein badal jaate hain.

Ab ye Cyst kya bala hai?

Cyst pouch ki tarah hote hain jis mein liquid bhar jata hai, aur ye pouch ovulation ke time nikal na paane par tumhari ovaries mein hi reh jaate hai aur time ke sath bade hone lagte hain.

Ye dono hi conditions hamare hormones level ko irregular karte hai, fertility ke chances kam karte hai, aur 15-44 years ki women ko affect karte hai.

In Blog Image 3.jpg


PCOD aur PCOS itne similar hai toh ye different kaise hain?

Dono conditions ka nature alag hai. PCOS comparatively zyada serious condition hai kyuki PCOD ek acchi diet aur exercise ke saath manage kiya jaa sakta hai, par PCOS ek tarah ka metabolic disorder hai.

Metabolic disorder matlab?

Humaari body mein “metabolism” ek natural process hai jo khaane ko energy mein convert kar ke hamari health aur growth mein help karta hai but, PCOS mein ye natural body process apna kaam dhang se nahi kar pati.

PCOD jahan hormonal imbalance ki wajah se develop hota hai wahi PCOS ek endocrine system ka disorder hai. Aur PCOD, PCOS se zyada common condition hai. Worldwide lag bhag one-third ladkiyan aur auratein PCOD se deal kar rahi hai.

PCOD aur PCOS ke lakshan:

  • Acne/muhase hona
  • Weight gain ya weight lose karne mein problem hona
  • Irregular periods
  • Skin ka kuch areas mein dark hona
  • Face aur body pe abnormal hair growth hona
  • Hair thinning hona
  • Depression
  • Fertility issues hona

PCOD aur PCOS se hone wale health complications:

  • Breast aur endometrial cancer ka risk hona
  • Infertility
  • High blood pressure hona
  • Diabetes hona
  • Heart problems hona

PCOD aur PCOS ko prevent kaise karein?

Humein khud ko PCOD aur PCOS se safe rakhne ke liye kuch preventive steps lene chahiye taki hum ek healthy life jee sake, woh kehte hai na “prevention is better than cure”.

Hum PCOD aur PCOS se bachne ke liye:

  • Ek healthy weight maintain kar sakte hai taki hamara insulin aur androgen level kamm rahe
  • Regularly exercise karna taaki blood sugar level kamm rahe hai aur ek healthy weight maintain ho paye.
  • Acchi balanced diet lena jisse hamari body ko essential nutrients mile aur insulin levels bhi kamm rahe.

In Blog Image 4.jpg


In conditions ke liye lady doctor se consult karna kyun zaroori hai?

Ab aate hai tumhare sawal par ki “Kya mujhe lady doctor ko dikhane ki zaroorat hai?” Aur iska seedha sa jawab hain “haan”. Agar tum upar bataye gaye symptoms face kar rahi ho toh tumhein jald hi lady doctor se consult karna chahiye. In conditions to control karna bahut important hai ek healthy life experience karne ke liye.

PCOS aur PCOD ke symptoms na sirf tumhari physical health ko affect karte hai but mental health ko bhi, acne, hair thinning aur face pe hair growth hone se hamara self confidence kam ho jaata hai, ham socialize karna kamm kar dete hai aur dheere dheere depression mein bhi jaa sakte hai. Aur toh aur, PCOD aur PCOS hone ke baad ki health complications bahut hi severe hain, isiliye tumhara ye symptoms experience karne ke baad ek lady doctor se consult karna zaroori hai.

Ek lady doctor ke pass jakar baat karna thoda scary zaroor ho sakta hai lekin tum bhi toh brave ladki ho! Bina kisi sharam aur darr ke jao aur lady doctor se consult karo taaki tumhari problem timely solve ho sake.

Conclusion:

PCOS aur PCOD tumhari menstrual cycle ke saath saath tumhare future mein pregnancy ke chances bhi kam karta hai, hamari body mein abnormal changes lata hai, complicated health problems lata hai, aur tumhare self confidence ko bhi kharab kar deta hai.

Gynecologist se salah lena aur apni lifestyle mein changes lana tumhein PCOD aur PCOS hone se bacha sakta hai. Treatment ke liye bhi online lady doctor tumhein lifestyle mein changes karne ki salah degi aur tumhari problem manage karne ke liye sahi medications bhi degi.

Ab dil khol ke apne private sawal pucho aur unke sahi sawal ek professional se jano. Toh ab bina kisi hichkichahat ke online lady doctor se consult karein apni problems ka solution pane ke liye aur yaad rakhe ki Chhaa Jaa ke sath no sharmana aur no ghabrana!