UTI (Urinary Tract Infection) Kaise Hota Hai? Kya Lady Doctor / Gynaec Se UTI Ke Liye Consult Kar Sakte Hain?


Cover imageutikyablog13.jpg


Mujhe urination ke time pe kaafi jalan mehsoos hoti hai aur baar baar washroom jana padta hai. Lekin jab bhi washroom jaati hu toh urine bahut kam aata hai. Kabhi kabhi toh urine mein kaafi ajeeb si smell bhi aati hai. Private part mein kabhi kabhi pain hone lagta hai. Internet pe dekha toh ye pata chala ki paani kam peene ki wajah se hota hai aisa, but paani peeke bhi dekh liya, kuch help nahi hui usse. Kya mujhe UTI ho gaya hai?

Sochti hu kisi friend ya family members se share karu but mujhe private batein share karne mein awkward feel hota hai. Samajh nahi aa raha, kaise iss problem ko solve karu? Kya lady doctor Gynaec se UTI ke liye consult kar sakte hain? Aap hi kuch suggestions do.

  • 20 years old girl, Bareilly

Hello!

Sabse pahle toh humein apna sawaal bhejne ke liye aur humpe trust karne ke liye bade waala thank you!

Tum toh jaanti hi ho ki apne privates parts aur unki health ke baare mein khul kar baat karna kitna uncomfortable aur scary ho sakta hai, aur is hi ghabrahat aur sharam ki wajah se hum aksar apni problems share nahi kar paate aur unka solution nahi dhoond paate.

Apni private problems ke baare mein khul ke naa baat karne se aur unka solution timely na dhoondhe se ham apne aap ko aur apni health ko khatre mein daalte hain.

Lekin tumne in sab ke baad bhi hum pe trust karke apni problem share ki, isliye thank you!

Ab baat karte hain tumhare sawaal ki, urine karte waqt tumhein private parts mein jo jalan mehsus hoti hai, woh koi ignore karne waali baat nahi hai. Aisi baatonko nazar andaz bilkul bhi nahi karna chahiye. Ye private part ke saath saath kidney ko bhi affect kar sakta hai.

Aaj iss blog mein hum tumhe UTI (Urinary Tract Infection) kya hai, ye kaise hota hai and is se kaise khud ko bacha sakte hain, in sab baaton ke baare mein poori information detail mein aur achhe se bataayenge. Agar tumhein lagta hai ki tum koi bhi urinary infection face kar rahi ho jaise urine karte waqt jalan hona, baar baar washroom jaana, toh tumhein ek lady doctor se consult karna chahiye.

Ek lady doctor ya urologist se consult kar ke tumhari problem solve bhi ho jayegi aur health bhi better ho jayegi. Lady doctor woh experts hain jo tumhein tumhaari problems ke sahi solution bhi denge aur tumhare beech hui baat ko tumhaare beech hi rakhenge. Matlab ki tumhari problem bhi solve ho jaayegi aur kisi ko pata bhi nahi chalega.


In blog image 1utikyablog13.jpg


UTI ke kuch symptoms:

UTI ki pehchan karne ke liye humein pata hona chahiye ki uske signs kya hain:

  • Urine karte waqt dard ya jalan mehsoos karna
  • Raat ke waqt zaroorat se zyaada number 1 lagna ya pehle se zyaada washroom jaana
  • Urine saaf nahi hona ya dhundhla dikhaai dena
  • Urine mein blood aana
  • Pet ke nichle hisse mein dard ya kamar mein dard hona
  • Fever hona ya thand lagna

Agar in mein se koi bhi symptoms dikhaai dein to inko nazar andaaz nahi karein. Ye aapki health ko aur kharab kar sakte hain, tumhein is se related turant hi kisi lady doctor ya urologist ko dikhana chahiye.

UTI kaise hota hai:

UTIs humein bacteria ke wajah se hota hai jo humaare private parts se urine ki tube mein enter kar jaate hain.

Females mein urine tube males ke comparison mein chhoti hoti hai jis wajah se bacteria jald hi bladder ya kidney mein enter kar jaate hain aur infect kar dete hain.

Humein pata hi nahi chalta ki kab hamaare private parts mein infection ho gaya. But humein khud hi in baaton ka khayal rakhna chahiye. UTI in sab baaton ki wajah se ho sakta hai:

  • Sex - Sex karte waqt bacteria private part mein enter kar jaate hain aur dheere dheere infect karna shuru karte hain.
  • Kidney stone - Kidney stones ki wajah se bhi UTI ka khatra badh jaata hai.
  • Immune system - Immunity kam hone par bhi bacteria easily enter kar jaate hain aur infect kar dete hain.
  • Unhygienic - Apne private parts ko clean nahi karna, unki sahi dekh bhal nahi karna ya hygiene maintain nahi karna -in sab baaton ki vajah se private parts bacteria ka ghar ban jaate hain.
  • Water - Paani peena har insaan ke liye bahut zaroori hai especially healthy kidney ke liye aur paani ki kami se bhi ye infection ho sakta hai.

In sab baaton ki wajah se hi bacteria easily private parts koinfect kar jaate hain. Sahi dekh bhal karne se hum khud ko bacteria and is infection se bacha sakte hain.

UTI ko kaise rokein?

Infection ko rokna easy nahi hai, lekin hum apne private parts ka khayal rakh sakte hain jisse kuch hadd tak infection se bacha jaa sakta hai. Humaari body humaare liye itna kuch karti hai toh hum kyun naa koshish karein ise healthy rakhne ki. In steps ko follow karke aap UTI se khud ko bacha sakte ho:

  • Hygiene - Apne private parts ko hamesha saaf aur dry rakhein kyunki us area mein zyaada geelapan theek nahi hai. Private parts ko clean karne ke liye scented soaps ka use nahi karein, kyunki aisi soaps ke chemicals aapke private parts ka pH badal ke inko galat dhang se affect karte hain.
  • Sanitary Pads - Periods ke time pe infection ke chances zyaada hote hain. Isiliye private part ko clean rakhein aur timely pads change karein taaki infection naa ho.
  • Sex - Sex ke turant baad number 1 jaane ki aadat banaa lein. Saath hi us area ko paani se hi saaf kar lena chahiye. Aur haan, yaad rakhna condoms vahi use karna jismein koi chemical lube naa ho.
  • Water - Khud ko hydrated rakho aur achhe se paani piyo taki tum din mein regularly washroom jaao. Aur sabse zaroori baat - kabhi apna urine lambe samay tak rok kar na rakhein.
  • Undergarments - Humesha cotton ke aur saaf undergarments peheno, Kisi bhi synthetic ya nylon undergarments ka use mat karo. Synthetic aur nylon se bane undergarments skin aur private parts ke liye bilkul sahi nahi hote. Inke wajah se bhi irritation hone lagti hai aur infection ke chances badh jaate hain.
  • Foods - Khane peene mein zyaada dhyaan dein kyonki zyaada meetha khane ya peene se infection ke chances badh jaate hain. Healthy lifestyle ko follow karein taaki body ka immune system strong rahe.

Kya Lady Doctor/ Gynaec Se UTI Ke Liye Consult Kar Sakte Hain?

In blog image 3utikyablog13.jpg


Humne ye sab discuss kar liya ki UTI ke symptoms kya hain, UTI kaise hota hai aur is se bachte kaise hain. But sabse important hai ki tumhein apne private parts mein infection ko lekar koi bhi confusion ho ya koi suggestions chahiye ho toh turant ek professional lady doctor ya urologist se consult karo.

Urologist ek professionally trained doctor hain jo specially UTI ya urine se jude problems ko diagnose aur treat karte hain. Urologist urine ke saath saath kuch sexual aur private parts se related problems ko bhi diagnose karte hain. Urine se related koi bhi problem ke liye humaara urologist se consult karna zaroori hai.

Pehli baar ek lady doctor/ gynecologist ya Urologist ke paas jaana aur consultation lena bahut scary lag sakta hai par hum ladkiyan bhi toh kitni brave aur strong hain! Haan, pehli baar in topics par baat karna thoda awkward zaroor lag sakta hai par lady doctor saari problems ka sahi solution bhi toh degi - isiliye jaana zaroori hai.



Hum jab tak ek professional online lady doctor se consult nahi karenge tab tak humaari problem solve nahi hogi. Toh ab apne private health concerns online lady doctor se poocho aur apne private problems ka solution easily dhoondh lo. Aur haan, yaad rakhna Chhaa Jaa ke sath no sharmana aur no ghabrana!