Chhaa Jaa ke blogs ab padhiye Hindi mein bhi. Kahan? Issi page par neeche scroll karke!
Menstruation hum sab ke liye ek personal experience hota hai. Kisi ke period jaldi shuru ho jaate hain toh kisi ke late. Kabhi kabhi kuch logon ko har mahine same date pe periods shuru hote hain toh kuch ke alag alag dates pe bhi shuru ho sakte hain. Par agar tum yeh jaanana chahti ho ki aisa kyon hota hai, toh tum bilkul sahi jagah par aayi ho.
Hamaari body teenage mein puberty aane ke baad har mahine pregnancy ke liye apne aap ko prepare karti hai. Menstrual cycle humaare last period ke first day se shuru hoke tab tak chalta hai jab tak next period shuru naa ho. Maan lo tumhaara last period 25th May ko shuru hua tha, aur ab 28th June ko fir se period aaya, toh aise mein tumhara cycle 25th May - 27th June tak count hota hai.
Iss cycle ke dauraan humaare uterus mein ek lining develop hoti hai aur humaari ovaries ek mature egg release karti hain jis process ko ovulation kehte hain. Ye egg 24 hours ke andar agar fertilise naa ho toh dissolve ho jaata hai. Pregnancy naa hone par uterus ki ye lining toot kar body se blooding ke form mein nikal jaati hai.
Ek cycle typically 28 dino ka hota hai. Pareshaan mat ho, ye sirf ek average number hai. Sach toh ye hai ki sabki body, alag alag hoti hai, aur isiliye har kisi ke menstrual cycle ki length bhi alag alag hoti hai. Zyaadatar menstrual cycle 21 se 35 dino tak ke hote hain. Kai baar alag alag reasons ki vajah se humaari cycle mein variation bhi aa jaate hain. Jaise agar ek mahine cycle 28 dino ka tha toh dusre mahine voh 30 dino ka bhi ho sakta hai. Cycle mein 7 se 9 dino tak ka variation normal hi maana jaata hai.
Period dates ka thoda idhar udhar hona normal hai. Par agar tumhare cycle mein yeh fluctuation 9 dino se zyaada aur baar baar ho raha ho, toh ek lady doctor se baat kar leni chahiye. Irregular periods ke kai reasons ho sakte hain :
Har mahine mein kabhi 30 toh kabhi 31 din hote hain, isliye periods adhiktar har mahine same day pe nahi aate hain. Lekin ye bhi yaad rakhna zaroori hai ki agar tumhaara period cycle 21 dino se chhota ya 35 dino se lamba hota hai toh ek lady doctor se consult kar lena bahot zaroori hai kyonki vahi bina judgement tumhaari problem ka sahi solution bata sakengi.
Also Read : Period Time Par Kyon Nahi Aata? Aur Late Aane Par Kya Karna Chahiye?
मेंस्ट्रुएशन यानी माहवारी हम सब के लिए एक पर्सनल एक्सपीरियंस होता है। किसी के पीरियड्स जल्दी शुरू हो जाते हैं तो किसी के लेट। कभी कभी कुछ को हर महीने सेम डेट पे पीरियड्स शुरू होते हैं तो कुछ के अलग अलग डेट्स पे भी शुरू हो सकते हैं। पर अगर तुम यह जानना चाहती हो कि ऐसा क्यों होता है, तो तुम बिलकुल सही जगह पर आयी हो।
हमारी बॉडी टीनएज यानी किशोरावस्था में प्यूबर्टी आने के बाद हर महीने प्रेगनेंसी के लिए अपने आप को तैयार करती है। मेंस्ट्रुअल साइकल हमारे लास्ट पीरियड के फर्स्ट डे से शुरू होके तब तक चलता है जब तक अगला पीरियड शुरू ना हो। मान लो तुम्हारा लास्ट पीरियड 25th मई को शुरू हुआ था, और अब 28th जून को फिर से पीरियड आया है, तो ऐसे में तुम्हारा साइकल 25th मई - 27th जून तक काउंट होता है।
इस साइकल के दौरान हमारे यूटरस यानी गर्भाशय (बच्चेदानी) में एक लाइनिंग बनती है और हमारी ओवरीज़ यानी अंडाशय से एक मैच्योर अंडा निकलता है - इस पूरी प्रक्रिया को ओव्यूलेशन कहते हैं। यह अंडा 24 घंटों के अंदर अगर फर्टिलाइज़ ना हो तो डिजॉल्व हो जाता है। प्रेगनेंसी ना होने पर यूटरस की ये लाइनिंग टूट कर बॉडी से ब्लडिंग या पीरियड के रूप में निकल जाती है।
एक साइकल टिपिकली 28 दिनों का होता है। परेशान मत हो, ये सिर्फ एक एवरेज नंबर है। सच तो ये है कि सबकी बॉडी अलग होती है और इसीलिए हर किसी के मेंस्ट्रुअल साइकल की लेंथ भी अलग होती है। ज़्यादातर मेंस्ट्रुअल साइकल 21 से 35 दिनों तक के होते हैं। कई बार अलग अलग रीज़न्स की वजह से हमारी साइकल में वेरिएशन भी आ जाते हैं। जैसे अगर एक महीने साइकल 28 दिनों का था तो दूसरे महीने वो 30 दिनों का भी हो सकता है। साइकल में 7 से 9 दिनों तक का वेरिएशन नार्मल ही माना जाता है।
पीरियड डेट्स का थोड़ा इधर उधर होना नार्मल है। पर अगर तुम्हारे साइकल में यह फ्लक्चुएशन 9 दिनों से ज़्यादा और बार बार हो रहा हो, तो एक लेडी डॉक्टर से बात कर लेनी चाहिए। इररेगुलरर पीरियड्स के कारण हो सकते हैं:
हर महीने में कभी 30 तो कभी 31 दिन होते हैं, इसीलिए पीरियड्स अधिकतर हर महीने सेम डे पे नहीं आते हैं। लेकिन यह भी याद रखना ज़रूरी है कि अगर तुम्हारा पीरियड साइकल 21 दिनों से छोटा या 35 दिनों से लम्बा होता है तो एक लेडी डॉक्टर से कंसल्ट कर लेना ज़रूरी है क्योंकि वही बिना जजमेंट तुम्हारी प्रॉब्लम का सही सोल्यूशन बता सकेंगी।
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
Normal Menstruation (Monthly Period): Menstrual Cycle & Symptoms
Why do menstrual cycles vary?
Also Read : Period Time Par Kyon Nahi Aata? Aur Late Aane Par Kya Karna Chahiye?