Chhaa Jaa ka maksad hai ki young girls ko periods aur sex se jude saare sawaalon ke sahi jawaab mil sakein. Har teenage ladki ke mann mein kai sawaal aate hain jaise ki “periods mein kya hota hai?”, “period mein pain ho toh kya kare?”, “online lady doctor se kaise mile?”, ya “first time sex mein bleeding hona zarurai hai?”, aise sawaalon ke jawaab ladkiyon ko aksar sahi source se nahi milte. Bade hote waqt ladkiyon ko kabhi sahi sex education nahi di jaati hai aur ladkiyan aaj bhi kaafi saari mythts mein believe karti hain. Humara purpose hai ki ladkiyan apne body ke baare mein jaane, aur sawaal poochein bina kisi sharam aur darr ke. Maana ki ye baatein private samjhi jaati hain, par in topics ke baare mein baat karne se log aksar sharmaate hain aur hichkichaate hain. Hum apne content aur information ke through tum sab tak sahi information pahunchana chahte hain, aur sex aur period se judi is sharam ko khatam karna chahte hain.