Chhaa Jaa aapki jaankari ("data") collect karta hai. Iss data ko collect karte waqt hum aapki privacy ki respect karte hain aur secure aur safe tareeke se isse store karte hain. Agar aap Chhaa Jaa ke products ko use karna band bhi karein, tab bhi Chhaa Jaa aapki jaankari issi respect ke saath safe rakhegi. Yeh jaankari hum use karte hain Chhaa Jaa aur humaare products - social media (Facebook, Instagram, Youtube ityadi), chatbot (Bol Behen) aur website - ko aur bhi useful aur behtar banane ke liye
Aapki saari jaankari ki safety ke liye Chhaa Jaa security aur privacy ke saare kanoon poori tarah follow karta hai (jaise Data Protection and Privacy law) jo Girl Effect (Chhaa Jaa brand ko banane wale company) pe laagu hai. Yeh isiliye kyunki Girl Effect ka head office United Kingdom (UK) mein hai jahan pe yeh kanoon bahut hi important hai.
Kisi bhi time pe agar aap nakhush ho apne data ke management ko lekar toh bejhijhak humein dataprotection@girleffect.org par contact karein. Hum vaada karte hain ki hum apni taraf se aapko jald se jald reply karne ki poori koshish karenge (ek mahine ke andar).