Irregular Periods Kyon Hote Hain? Kya Iske liye Lady Doctor Se Consult Karna Zaroori Hai?


In blog image 13.jpg


Kya irregular periods hona normal hai? Mere periods kabhi kabhi late ya miss ho jate hain, maine apni friend se poocha toh usne bataaya ki uske saath bhi aisa kabhi kabhi hota hai aur ye normal hain, aur jab maine doosri friend se poocha toh usne bataya ki uske periods regularly aate hain aur main jo experience kar rahi hun woh theek nahi. Kya ye sach hai? Kya mujhe kisi lady doctor se consult karne ki zaroorat hai?

  • 17 year old girl from Jodhpur

Hi!

Thank you humse apne private problem share karne ke liye aur hum par itna zyaada trust karne ke liye! Sabse pehli baat toh yeh hai behen ki tum bahot hi brave ho! Tumne apni private problem ke baare mein khul ke baat ki aur apne dosto se salah bhi li aur theek thaak jawaab na milne par humse sawaal pucha , humein tumhari curiosity pe garv hai! Hum ladkiyan aksar apni private problems ke baare mein khul ke baad karne se sharmaati hain, par hamaara sawal poochna zaroori hai khud ko healthy aur safe rakhne ke liye.


In blog image 2.jpg


Ab baat karte hain tumhare sawal ke baare mein, “Irregular periods kyon hote hain?”

Har ladki ke periods alag hote hain. Kuch ladkiyon ke periods time par aate hain aur kuch ke thode late. On an average dekhe toh, ek ladki ko har 24 se 38 dinon mein periods aate hain aur ye lag bhag 2 se 8 dino tak rehte hain.


In blog image 311.jpg


Irregular periods kya hote hain aur uske signs kya hote hain?

Tumhe irregular periods ho sakte hain agar:

  • Har periods ke beech ka gap badalna shuru ho jaaye
  • Tumhein periods ke time bahut zyaada ya bahut kam bleeding ho
  • Tumhare periods bahut kamm ya bahut zyaada dino tak rehein

Irregular periods kyon hote hain?

Kai baatein irregular periods ka karan ho sakti hain. Humaari body do hormones produce karti hai - estrogen aur progesterone, in dono hormones ke imbalance ki wajah se periods fluctuate kar sakte hain.

Irregular periods hone ke aur reasons hain:

Birth control ya contraceptive pills lena

Birth control aur contraceptive pills hormones levels ko imbalance karke pregnancy prevent karti hain aur isi hormonal imbalance ki wajah se periods irregular hote hain.

Bahot zyaada exercise karna

Bahut zyaada exercise karne se bhi body ke hormones level change ho jaate hain jiski wajah se irregular periods ho sakte hain. Exercise ko moderation mein karna chahiye taaki tumhaari health acchi rahe.

Polycystic Ovary Syndrome (PCOS)

PCOS (Polycystic OvarianSyndrome) mein periods ke waqt humari ovaries androgen naam ka ek male hormone hota hai jo normal se zyaada release hota hai. Is hormone ke zyaada hone se hamare eggs ki development aur release hone ke process mein dikkat aati hai, aur periods irregular hone lagte hain.


In Blog image 4.jpg


Stress

Excessive stress can affect your mind and body. Too much stress can impair the function of your hypothalamus. This is the part of your brain that controls hormone regulation. Discovering the source of your stress and managing your stress levels may help your period start back up again.

Underactive thyroid

Underactive thyroid ya hypothyroidism mein tumhaara thyroid gland hormones acche se produce nahi kar paata jiski wajah se tumhari menstrual cycle affect hoti hai.

Ab tum bhi soch rahi hogi ki period jaldi laane ke upay kya hain? Dekho ye period jaldi laane ke upaay kuch logo ke liye kaam aayenge aur kuch ke liye nahi. Ab tum soch rahi hogi, “aisa kyun?’


In Blog image 5.jpg


Aisa isiliye kyonki hum sab ki body different hai. Humne tumhari help karne ke liye eklist banaai hai jismein likhe hain period jaldi laane ke upaay par inhein follow karne se guarantee nahi ke problem solve hogi, uske liye tumhara lady doctor se consult karna bahut zaroori hai. Tum ye lifestyle habits jo period jaldi laane ke upaay mein se hain, inko apni daily life mein use karnashuru karo:

  • Healthy diet lena
  • Ek healthy weight maintain karna
  • Regularly exercise karna

Lady doctor ke pass kab jaaye?

Agar tumhare periods ke pattern mein neeche mention kiye hue koi bhi changes aaye hain toh tumhein apni lady doctor se turant hi consult karna chahiye:

  • Ek saal mein teen ya usse zyada periods miss hue hain.
  • Tumhe har 21 days ke andar period bahut baar aata hai.
  • Periods ke time tumhein normal se zyaada heavy flow ho raha hai.
  • Periods ke time 7 se zyada dino tak periods rehte hain.
  • Periods mein tumhein bahut zyada cramps and dard hota hai.


Ek lady doctor woh specialists hain jo tumhari saari private problems patiently sunegi aur tumhe sahi solutions bhi degi, tum unse dil kholke baat kar sakti ho, aur apne sawaal bhi pooch sakti ho. Toh ab bina kisi hichkichahat ke irregular periods ke baare mein aaj hi ek lady doctor se consult karo! Aur yaad rakhna Chhaa Jaa ke sath no sharmana, no ghabrana!