PCOD Kaise Thik Hoga?

PCOD

Aksar period irregular hone ke reasons mein se ek major kaaran hota hai - PCOD. Lekin ye PCOD hai kya? Kya PCOD aur PCOS same hai? PCOD kaise hota hai? Isko theek kaise kiya jaye? Aao tumhare har sawaal ka jawaab dete hain.

PCOD Kya Hai?

Poly Cystic Ovary Disease ya PCOD ek aisa medical condition hai jisme ovaries immature ya partially mature eggs zyaada produce karti hain. Jisse ovaries mein cyst form hote hain jiske kaaran ovaries phool jaati hain aur male hormones (androgen) zyaada produce karti hain.

PCOD Ke Symptoms Kya Hain?

PCOD mein irregular periods, extra period blooding, unwanted hair ka badhna, motaapa, aur inner thighs, underarms ya neck region ke skin ka dark hona jaise symptoms hote hain.

PCOD hone par hum kai saari alag health conditions ka bhi shikaar ho sakte hain, jaise:

  • Infertility yaani pregnant hone mein dikkat hona ya nahi ho paana
  • Diabetes
  • Heart Disease
  • Endometrial Cancer
  • Depression

PCOD kya hai

PCOD Kaise Theek Kiya Jaata Hai?

Halaanki PCOD ka ab tak koi cure nahi hai, PCOD sahi treatment aur lifestyle changes dwara theek zaroor kiya jaa sakta hai.

Lifestyle Changes:

Doctors aur experts ke hisaab se PCOD ka best solution lifestyle changes hote hain.

1) Exercises

Regular exercise humare body mein hormones regulate karne mein help karta hai jo PCOD ko manage karne mein help karta hai.

2) Yoga

Yoga bhi exercises ke tarah humare body mein hormones ko properly regulate karta hai. Yoga PCOD se hone wale dono physical aur mental health effects ko manage karne mein help kar sakta hai.

3) Diet

Kyonki PCOD hone par body mein insulin badh jaata hai, doctors aksar ek healthy diet bhi recommend karte hain. PCOD ke liye high fiber food (jaise green pattedaar sabziyaan, broccoli, gobhi) aur lean protein source (jaise tofu, chicken, aur eggs) include karna chahiye.

Medication:

PCOD ke case mein lady doctors aksar birth control pill aur progestin therapy ke liye recomment karte hain.

1) Combination Birth Control Pill

Birth control pills, jin mein dono progestin aur estrogen hote hain, humaare body mein androgen ke release ko kam karte hain aur estrogen regulate karte hain.

PCOD mein hormones properly regulate karne se endometrial cancer ke chances kam ho jaate hain aur irregular period bhi theek ho jata hai.

2) Progestin Therapy

Progestin periods regular hone mein help kar sakta hai. Saath hi, progestin therapy endometrial cancer se bhi baccha sakti hai.

Lekin dhyaan rakhna ki PCOD ke liye progestin therapy lene par humaare androgen levels improve nahi hote hain aur pregnancy hone ke chance rehta hai.

Kya Lady Doctor Se Consult Karna Chahiye?

Agar tumhe lage ki tum PCOD ke symptoms experience kar rahi ho toh turant apne lady doctor se consult kar lena chahiye. Tumhari lady doctor ultrasound, hormonal blood tests, aur pelvic exam jaise tests ke dwara tumhara PCOD diagnose karke tumhe sahi treatment ke options bata sakti hain.

Conclusion:

PCOD ek medical condition hai jisme ovaries zyaada eggs produce karte hain jo baad mein cysts bann jate hain. PCOD ka ab tak koi specific iilaaj nahi hai lekin experts ka maanana hai ki regular exercise, healthy diet, aur proper medication se PCOD ke effects ko manage kiya jaa sakta hai.

Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisi jhijhak ke de sakti hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakti ho ya Bol Behen pe pooch sakti ho!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Facebook Only Girls Group - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Bak Bak Gang Instagram - https://www.instagram.com/bak_bak_gang/

References:
https://pharmeasy.in/blog/pcod-problems-know-its-symptoms-causes-and-treatment/
https://www.unicef.org/india/stories/do-pcod-and-pcos-mean-same-thing-or-are-they-different#:~:text=In%20PCOD%20the%20ovaries%20start,eggs%20prone%20to%20becoming%20cysts.
https://www.mayoclinic.org/diseases-conditions/pcos/diagnosis-treatment/drc-20353443
https://www.healthline.com/health/yoga-for-pcos#poses-that-help