Cover image_20


PMS Kya Hota Hai? PMS Ko Hone Se Kaise Rokein?

Hi!

Aaj hum PMS matlab ki “premenstrual syndrom” ke baare mein baat karenge. Lekin aage badhne se pehle hum ye kehna chaahte hai ki tum bahot hi brave aur curious ho, aur humein tumhara ye andaaz bahot pasand aaya hai!

Hum jaante hain ki in topics ke baare mein baat karte hue embarrassment feel hoti hai par tumhein apni body aur apni health se related sawal poochne chahiye bina kisi sharam ke. Agar hum apni body ke baare mein acche se jaante honge toh hum apna khayal utne hi acche se rakh payenge. Tum khud ko akela kabhi matt mehsoos karna aur yaad rakhna ki hum kisi bhi problem mein humesha tumhare saath hai.

Aaj ke blog mein hum baat karenge PMS, PMS ke symptoms aur in symptoms ko kam karne wale methods ke baare mein. Toh chaliye shuru karte hai!

PMS kya hota hai?

20.1


PMS ya premenstrual syndrome ek aisi condition hai jo ki periods ke dates ke aas paas ladkiyon ke emotions, overall health aur behaviour pe asar karti hain. Generally yeh blooding ke pehle hi hota hai par kayi cases aise bhi hain jaha yeh periods ke baad bhi ladkiyon ko effect karta hain.

PMS kaafi common condition hai par iske hone ka exact reason kya hai, yeh batana difficult hai. Researchers ka kehna hain ki PMS oestrogen aur progesterone jese hormones ke imbalance ki wajah se hota hain. Yeh aksar blooding hone ke ek hafte pehle se hona shuru hojate hain aur periods aane par apne aap theek hojate hain.

PMS ke symptoms:

Ladkiyon ki overall menstrual cycle 28 days ki hoti hain, jis mein 14th-day pe ovulation yaani k eggs release hote hain. Humare blooding cycle 28th day pe aata hai, toh lag bhag PMS ke symptoms humari menstrual cycle ke 14th day se shuru ho jate hain.

20.2


Of course, har kisi ki menstrual cycle alag hoti hai toh PMS ke symptoms har kisi ke liye different ho sakte hain. Kuch ladkiyan physical symptoms zyada experience karti hain, jaise ki:

  • Joint ya muscle pain hona
  • Headache hona
  • Thaka thaka lagna
  • Weight gain hona
  • Pet ka foolna
  • Breasts mein pain hona
  • Acne hona
  • Constipation ya diarrhea hona

Similarly PMS ke kuch emotional symptoms bhi hote hain, jaise ki:

  • Tension ya anxiety hona
  • Mood swings aur irritated feel karna
  • Food cravings hona ya appetite mein changes aana
  • Sone mein dikkat hona (insomnia)
  • Kharab concentration hona
  • Kisi se baat karna ya bahar jaane ka mann na karna
  • Low sex drive

20.3


Kuch ladkiyan dono tarah ke symptoms se guzarti hain. Yeh symptoms ki wajah se humari roz ki lifestyle mein bhi kuch changes aa sakte hain. PMS ke symptoms generally itne zyada nahi hote ki humari roz ki life mein problems ho lekin agar inki wajah se hum apna daily routine follow nahi kar paa rahe aur bahot zyada problems face kar rahe hain toh humein jald se jald ek online lady doctor se consult karna chahiye kyon ki yeh koi underlying yaani andruni health condition ka sign ho sakta hai.

PMS ke saath deal kaise karein?

PMS ka koi ek solution ya treatment nahi hai, lekin hum apne symptoms ki intensity yaani adhikta ko kam karne ke liye kuch chizein kar sakte hain. Kyon ki PMS hormone imbalances ki wajah se hota hain jo ki avoid karna mushkil hi nahi, namumkin hai! Isiliye agar ye symptoms moderate ho toh neeche diye gaye tips helpful saabit ho sakti hain:

  • Bloating kam karne ke liye paani peena
  • Overall health aur energy maintain karne ke liye khoob saare fruits consume karna
  • Apna coffee aur sugar intake kam karna
  • Sleeping cycle theek karna, exercise aur lifestyle habits jaise ki reading, music sun na bhi stress kam karti hain jis se humare periods manage karne mein asaani hoti hain.
  • Zyada dard hone par online lady doctor se consult karne ke baad mild pain killers bhi le sakte hain.

PMS hum sab apni last menstrual cycle tak experience karenge lekin iska matlab yeh nahi hai ki hum is condition ki wajah se har mahine suffer karein. PMS ki wajah se ho sakta hai ki tumhein apni day to day life mein kuch na kuch compromise karna pade, aur hum tumhare is struggle ko samjh sakte hain. Isliye hum kehte hain ki apni body ko samjho aur uske hisab se apni health ko maintain karo.

20.4


Aur iske liye zaroori hai ki hum sab ko ye pata ho ki humari body kaise kaam karti hai, aur yeh har kisi ke liye alag hoga kyonki har kisi ki blooding cycle different hoti hai. Ek lady doctor ko consult karna overall sabse accha tareeka hai apni body ke baare mein acche se jaan ne ke liye. Lady doctor tumhari consultation aur conversation ko private rakhegi toh bina kisi jhijhak ke unse baat karo aur sawaal poocho.

Jaane se pehle ek baar fir yahi kehna chahenge ki apni body ke baare mein sawaal karna bahot hi natural aur smart baat hai. Is mein koi sharam ki baat nahi hai. Khud ko healthy rakhna hum sab ki pehli priority honi chahiye, toh log kya kahenge uski tension liye bina ek online lady doctor se aaj hi consult karo!

Aur yaad rakhna ki Chhaa Jaa ke saath no sharmana, no ghabrana.


Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/results?search_query=chhaa+jaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Source:

Premenstrual syndrome (PMS) - Diagnosis and treatment

Premenstrual syndrome (PMS)

Premenstrual Syndrome: Causes, Symptoms, and Treatments