Chhaa Jaa ke blogs ab padhiye Hindi mein bhi. Kahan? Issi page par neeche scroll karke!
Period aur sex ke discussions mein aksar hymen pe charcha ki jaati hai. Hymen aakhir hota kya hai? Kya sabhi ladkiyon ke paas hymen hota hai? Yeh karta kya hai? Chalo in sabhi sawaalon ka detail mein jawaab dete hain.
Hymen humaare vagina ki entry par phaila hua ek tissue hota hai. Yeh hissa kisi bhi shape ya size ka ho sakta hai. Yeh patla saa tissue vagina ke rang ka hi hota hai isiliye yeh alag se dikhna mushkil hai. Hymen sex ke dauraan ya tampon istemaal karte samay stretch ho jaata hai aur baad mein dobara apne size aur shape mein laut aata hai. Kai baar hymen break bhi ho sakta hai lekin ghabraao mat, yeh bilkul normal hai.
Hymen ke stretch hone ya tear hone par, kai logon ko halka dard bhi mehsoos ho sakta hai, par yeh zaroori nahi ki har ladki ko dard mehsoos ho. Aksar hymen ka stretch/tear hona feel bhi nahi hota. Kai baar hymen doosri activities jaise exercise karna, horse-riding karna, cycling karna - inse bhi tear ho sakta hai.
Simple shabdon mein, ek insaan virgin tab hota hai jab usne kabhi sex nahi kiya ho. Pehli baar penetrative intercourse karte samay tumhara hymen tear hone ki possibility hoti hai. Isiliye virginity ko hymen ke presence aur abscense se joda gaya hai. Lekin yeh ek myth hai ki agar kisika hymen break hua ho toh voh virgin nahi hai. Jaise ki humne upar bataya, hymen intense exercising, horse-riding, cycling jaisi activities se bhi tear ho sakta hai. Isiliye hymen ki state ka virginity se koi relation nahi hai.
Haalaanki hymen humaare vagina ka ek hissa hota hai, parr yeh bhi yaad rakhna zaroori hai ki hymen har vagina ka hissa nahi hota hai, aur ye kaafi normal hai.
Kya sexual activity karne par humaara hymen toot jaata hai? Nahi. Balki, sex karne par humaara hymen stretch ho jaata hai aur dheere dheere, waqt ke saath woh patla ho jaata hai.
Agar tum iske baare mein aur janna chaahti ho toh tum ek lady doctor se apni reproductive health ke baare mein consult kar sakti ho. Ek lady doctor tumhari problem ke liye sahi salah bhi dengi aur tumhari beech hui baat private bhi rakhengi.
पीरियड और सेक्स के डिस्कशन्स में अक्सर हाइमन पे चर्चा की जाति है। हाइमन आख़िर होता क्या है? क्या सब लड़कियों के पास हाइमन होता है? ये करता क्या है? चलो इन सभी सवालों का डिटेल में जवाब देते हैं।
हाइमन हमारे वजाइना की एंट्री पर फैला हुआ एक टिश्यू होता है। यह हिस्सा किसी भी शेप या साइज का हो सकता है। यह पतला सा टिश्यू वजाइना के रंग का ही होता है इसीलिए यह अलग से दिखना मुश्किल है। हाइमन सेक्स के दौरान या टैम्पॉन इस्तेमाल करते समय स्ट्रेच हो जाता है और बाद में दोबारा अपने साइज और शेप में लौट आता है। कई बार हाइमन ब्रेक भी हो सकता है लेकिन घबराओ मत यह बिलकुल नॉर्मल है।
हाइमन के स्ट्रेच होने या टेअर होने पर, कई लोगों को हलका दर्द भी महसूस हो सकता है, पर ये जरूरी नहीं की हर लड़की को दर्द महसूस हो। अक्सर हाइमन का स्ट्रेच/टेअर होना फील भी नहीं होता। कई बार हाइमन दूसरी एक्टिविटीज़ जैसे एक्सरसाइज, हॉर्स-राइडिंग, साइकिलिंग - इनसे भी टेअर हो सकता है।
सिंपल शब्दों में, एक इंसान वर्जिन तब होता है जब उसने कभी सेक्स नहीं किया हो। पहली बार पेनेट्रेटिव इंटरकोर्स करते समय तुम्हारा हाइमन टेअर होने की पॉसिबिलिटी होती है। इसीलिए विर्जिनिटी को हाइमन के प्रेज़ेन्स और एब्सेंसे से जोड़ा गया है। लेकिन यह एक मिथ है की अगर किसीका हाइमन फटा हुआ है तोह वह वर्जिन नहीं है। जैसे की हमने ऊपर बताया, हाइमन इंटेंस एक्सेर्साइज़, हॉर्स - राइडिंग, साइकिलिंग जैसी एक्टिविटीज़ से भी टेअर हो सकता है। इसीलिए हाइमन की स्टेट का विर्जिनिटी से कोई रिलेशन नहीं है।
हालांकि हाइमन हमारे वजाइना का एक हिस्सा होता है, पर यह भी याद रखना ज़रूरी है की हाइमन हर वजाइना का हिस्सा नहीं होता है, और यह काफी नॉर्मल है।
क्या सेक्स करने पर हमारा हाइमन टूट जाता है? नहीं। बल्कि, सेक्स करने पर हमारा हाइमन स्ट्रेच हो जाता है और धीरे-धीरे, वक्त के साथ वो पतला हो जाता है।
अगर तुम इसके बारे में और जानना चाहती हो तो तुम एक लेडी डॉक्टर से अपनी रिप्रोडक्टिव हेल्थ के बारे में कंसल्ट कर सकती हो। एक लेडी डॉक्टर तुम्हारी प्रॉब्लम की सही सलाह भी देंगी और तुम्हारी बीच हुई बात प्राइवेट भी रखेंगी।
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/results?search_query=chhaa+jaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
Does It Hurt When Your Hymen Breaks?
Hymens and virginity | Health Navigator NZ
Also Read : Periods mein exercise kar sakte hain?