Mere private parts mein se bahot zyaada safed paani nikal raha hai kuch dino se aur mere periods bhi late hain, mujhe meri friend ne ye bataya ki safed paani pregnancy ka lakshan hota hai. Kya ye baat sahi hai? Kya aise safed paani aana normal hai?
Hello!
Sabse pehle toh thank you hum par trust kar ke apna itna personal sawaal poochne ke liye. Hum bahot impressed hain tumhari curiosity aur bravery ko dekh ke! Chalo ab tumhare sawaal ka sahi jawaab dhoondhte hain.
White discharge yaani ki safed paani ladies ko unke puberty ke 2 saal pehle se aana shuru ho jata hai aur menopause ke baad hi aana band hota hai. Tumhara vagina ek self cleaning organ hai aur isse clean rakhne ka kaam discharge yaani ye safed paani karta hai.
Vagina aur cervix mein jo bacteria aur dead cells hote hain woh safed paani bann ke tumhari body se nikal jaate hain. Iss process se tumhara vagina saaf aur infections se safe rehta hai.
Pregnancy ko leke yeh myth rehti hai ki agar blooding aani band ho jaati hai toh vaginal discharge yaani safed paani bhi naturally aana band ho jaata hai. Vaginal discharge puberty se menopause tak ki age tak aata rahega aur toh aur pregnancy ke time bhi ye regular amount se zyaada hi nikalta hai.
Pregnancy ke samay aane wala safed paani clear ya white colour ka hota hai aur iski koi gandi smell nahi hoti. Pregnancy ke end tak aate aate safed paani zyaada aane lagta hai aur woh jelly jaisa nikal lagta hai. Agar iska rang ya smell tumhein kisi bhi reason ki wajah se ajeeb lage toh behtar hai ki tum ek online lady doctor ko consult karo.
Lekin aisa zaroori nahi hai ki safed paani nikalna pregnancy ka hi sign ho, vaginal discharge humari body ka bahot hi natural tareeka hai khud ko saaf aur healthy rakhne ka. Agar tum physical hui ho aur tumhein doubt hai ki tumhara body ka ye reaction normal nahi hai toh tumhein ek lady doctor se consult karna chahiye.
White vaginal discharge yaani safed paani humare private parts ko saaf aur healthy rakhne ka kaam karta hai.
Ye safed paani private parts ke andar rehne wale dead cells aur bacteria ko body se bahar nikaalne ka kaam karta hain.
Generally, white vaginal discharge aane ke kuch common reasons ye hain:
Tumhari period/menstrual cycle ke beech mein white vaginal discharge ka aana badh jaata hai. Yeh isliye hota hai kyonki tumhari ovary egg release karne ke liye khud ko prepare kar rahi hoti hain. Ovulation jaise jaise paas aane lagti hai waise hi tumhari white vaginal discharge ki consistency yaani ghanatv, colour aur smell bhi badal jaata hai. Ovulation period ke baad discharge aana kamm ho jaata hai.
PCOS jaise hormonal conditions ki wajah se bhi discharge pe asar hota hai. Kuch ladkiyon ko kam discharge nikalta hai par aksar PCOS ki wajah se discharge aana badh jata hai.
Stress bhi discharge pe kaafi asaar karta hai. Stress ki wajah se body mein cortisol aur adrenaline jaise hormones badh jaate hain jo ki vaginal discharge pe directly asar karte hai.
Antibiotic medications se bohot si illnesses ka ilaaj kiya jaata hai but yeh tumhare vagina mein rehne wale healthy bacteria pe bhi assar karti hain. Vaginal discharge pe antibiotics ka assar kuch aisa hota hai ki zyaada medicines lene par yeast infection ke chances badh jaate hain. Yeh tumhare private parts mein itching, rash ya soreness jaise symptoms bhi laa sakta hai.
Yeast infection ek vaginal infection hai jisme tumhari body se aa raha discharge badh jaata hai aur uski consistency cheese jaisi ho jaati hai. Yeast infection hone ke ye reasons ho sakte hai:
Yeast infection hone pe discharge ke saath saath itching aur redness bhi experience hoti hai.
Vagina mein bacteria badh jaane se bacterial vaginosis jaisi conditions ho sakti hai. Iss condition mein tumhare vagina mein inflammation yaani soojan aur jalan ho sakti hai aur discharge ka smell fishy sa ho jaata hai. Uska rang bhi grey, green ya white hota hai jo ki normal discharge se bohot alag hota hai. Agar tum bacterial vaginosis experience kar rahi ho toh tumhein ek lady doctor se jald hi consult karna chahiye.
Vaginal discharge nikalna humaari body ka ek bahot basic function hai. Discharge nikalne se reproductive health sahi rehti hai aur ye humaari general health ko bhi theek rakhta hai. Kuch factors hain jo discharge pe assar karte hai aur agar tum inn conditions ya symptoms mein se kuch bhi experience kar rahi ho toh turant ek online lady doctor se consult karna chahiye.
Ek lady doctor se apni private problems ke baare mein baat karna bahot important hai. Hum jaante hain ki private parts ki problems ke baare mein baat karna mushkil ho sakta hai par is mein sharamane ki koi baat nahi hai aur toh aur iss jhijhak se badh kar tumhari health hai, toh bina ghabraaye doctor se baat karo. Ek acchi lady doctor tumhari problem ko samjhegi, tumhein judge nahi karegi aur tumhari problem ka sahi solution bhi dengi.
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
Vaginal Discharge During Pregnancy: What's Normal?
Vaginal discharge in pregnancy.
Vaginal Discharge: What's Abnormal
Lots of Discharge: 13 Possible Causes, Healthy Signs, Management