Kya Garbh nirdodh Use Karne Ke Baad Bhi Pregnancy Ho Sakti Hai?

Pregnancy ko kaise roke

Hum sab jaante hain ki garbh nirodh yaani ke contraceptives pregnancy ko rokne ke liye use kiye jaate hain. Lekin kya ye 100% kaam karte hain? Ya phir kya inke use ke baad bhi pregnant hone ke chances rehte hain? Aao jaante hain.

Kya Koi Bhi Contraceptive 100% Effective Hota Hai?

Nahi. Duniya mein koi bhi contraceptive 100% fool proof nahi hota hai. Sabse jyada asardaar contraceptives bhi maximum 99% tak effective ho sakte hain. Jiska matlab ye hua ki saal mein 100 mein se 1 ladki contraceptives use karne ke baad bhi pregnant ho sakti hai.

Kandom Yani Ki Condom Isstemaal Karne Ke Baad Bhi Pregnancy Ke Chances Hote Hain?

Ab kabhi bhi kahin bhi ek health quiz bharo, Doctor se OCP yaani regularly li jaane waali garbh nirodhak goli paao, sawaal ho toh Prev ke Lady Doctor se WhatsApp chat karo.

Perfectly use karne par condoms 98% tak effective hote hain. Lekin condoms har waqt perfectly pehanna possible nai hai jiske kaaran real life mein Ye 87% ke aas paas effective hote hain. Yaani, har saal 100 mein se 13 log condoms use karne par bhi pregnant ho jaate hain. Parr iska matlab ye bilkul nahi ki condoms use matt karo - balki dohri suraksha ke liye - pregnancy aur STIs se bachne ke liye - condoms one and only tareeka hai!

Contraception Pills Ka Use Kab Karna Chahiye?

Contraception pills ya birth control pills unn pills ko kaha jaata hai jin mein dono progestin aur estrogen, ya sirf progestin hormones rehte hain. Contraception pills 99% effective hote hain aur inko har din same timing par lena chahiye.

Garbh nirodhak goli

Contraception Ki Poori Knowledge Hona Kyun Jaroori Hai?

Contraception ke kaii saare tareeke hain jis vajah se ek contraceptive option choose karna mushkil ho sakta hai. Isi karan contraception ki poori knowledge hona bahot zaroori hota hai.

Contraceptive ke side effects aksar pregnancy ke symptoms jaise se ho sakte hain. Jiske karan pregnancy ke symptoms ko side effect maankar ignore karne ke chances bhi bahot hote hain. Isiliye contraceptives use karne se pehle unke bare mein poori jaankaari haasil karna bahot zaroori hota hai.

Contraception use karne se pehle inke baare mein apni lady doctor se apna har doubt clear kar lena zaroori hai. Isse kaise use karna hai, side effects, kitne samay tak use karna hai jaisi baatein hamesha apni lady doctor ko bejhijhak pooch leni chahiye. Akhir apni body aur health se related baaton ko lekar jitni curious hogi, utna hi smart banti jaogi.

Conclusion:

Toh kya contraceptive use karne ke baad bhi tum pregnant ho sakti ho? Haan. Duniya mein present garbh nirodh ka koi bhi option pregnancy ke khilaaf 100% assurance nahi de sakta. Isiliye contraceptive ke istemaal ke saath saath apni body aur uske mechanism ko acche se samajhna bahot zaroori hai.

Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho, ya Bol Behen pe pooch sakti ho!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Facebook Only Girls Group - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Bak Bak Gang Instagram - https://www.instagram.com/bak_bak_gang/

References

https://www.plannedparenthood.org/learn/birth-control/condom/how-effective-are-condoms#:~:text=If%20you%20use%20condoms%20perfectly,will%20get%20pregnant%20each%20year.
https://www.healthline.com/health/birth-control/how-to-get-pregnant-while-on-the-pill#:~:text=Yes.,to%20prevent%20an%20unplanned%20pregnancy.