Garbh Nirodh Kya Hota Hai?

Garbh nirodh kya hai

Contraception yaa garbh nirodh, pregnancy se bachne ke tarike hain. Agar male ke semen yaani paani mein maujood sperm female ke egg ke saath mil jaaye, toh aise mein pregnancy ho sakti hai.

Isiliye contraception (garbh nirodh) ke tarike is egg aur sperm yaani shukraaṇu ko milne se rokne ka kaam karte hain. Aur is tarah garbhadhaaraṇ (conception) ko hone se roka ja sakta hai. Pregnant hone se bachne ke liye log kayi tarah ke garbh nirodh ke tariko ka istemaal karte hain, jin mein se ek hai - Oral Contraceptive Pill yaani Grabhnirodhak Goli. Chalo fir aaj ham garbh nirodhak goli ke baare mein acche se baat karte hain.

Ab online kahin bhi, kabhi bhi apne marzi ke Doctor se karo baat. Medibuddy ke saath. Humaara Medibuddy coupon code ka use karo aur easily Doctor se connect karo.

Garbh Nirodhak Goli Ka Matlab?

Garbh nirodhak tablets mainly do tarah ke hormones, “progesterone aur estrogen”, se bani hoti hain. Jab garbh nirodh ya contraception ke liye garbhnirodhak goliyon ka istemal mein liya jata hai, tab in hormones kaa hamari body par alag-alag asar pad sakta hai. Ye goliyaan pregnancy ko rokne mein help karti hain. Saath hi saath ye humare periods ki cycle aur baaki baaton ko bhi affect kar sakti hain.

Pregnancy ko rokne ke liye, in goliyon mein hormones hote hain jo ovulation ko hone se rok sakte hain, saath hi saath uterus ke andar ki lining aur liquid par bhi impact karti hain. In goliyon ke assar se sperm ka ande tak pahunchana mushkil ho jaata`hai, aur issi tarah uterus ke andar ki lining ko change karke bhi ye pregnancy rokne ka kaam karti hain.

Garbh Nirodhak Goliyan Kis Liye Istemal Hoti Hain?

Pregnant hone se bachne ka sabse aam tarika pregnancy ki goliyon hain. Ye goliyaan pregnant hone se rokne ka kaam karti hain. Saath hi saath ye humare periods ko bhi manage karti hain taaki periods irregular naa ho . Jin logon ko PCOD ya PCOS hai, unke liye garbhnirodhak goliyan periods ko regular karne mein help kar sakti hain.

Pregnancy rokne ke upay

Garbh Nirodhak goliyon ka main benefit yeh hai ki aap unko use karke pregnancy se easily bach sakte hain. Agar tumhein garbh nirodhak goliyan aur contraception ke different methods se jude sawalon ke jawab chahiye, to tum apne lady doctor se bejhijhak poochh sakti ho. Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Sources : महिलाओं के लिए ही क्यों बनी हैं गर्भनिरोधक गोलियां?
गर्भनिरोध के ऐसे तरीके, जिनसे आप हैं बेखबर