STI’s/STD’s Kya Hote Hain? Aur Inhe Hone Se Prevent Kaise Karein?

Cover_21.jpg



Hi!

Aaj iss blog mein hum STI’s/STD’s ke baare mein baat karenge. STI’s/STD’s ke signs kya hote hain? Inhe prevent kaise kar sakte hai? Aur kya iske hone par lady doctor se consult kab karna chahiye? Is blog mein hum in saare STD’s/STI’s se jude common sawaalo ke jawaab denge.

Hum jaante hain ki aisi private problems ke baare mein baat karna bahot mushkil ho sakta hain but humein humari body aur health ke baare mein sahi knowledge hona zaroori hai khud ko safe aur healthy rakhne ke liye.

Humein khushi ye dekh kar ki tum ye blog padh rahi ho taaki tum apni body ka dhyaan rakh sako. Yeh curiosity aur self care ki aadat ko bhi matt chhorhna.

Hum sab ke liye safe sex practice karna bahot zaroori hai khud ko safe rakhne ke liye.

Ab safe sex exactly kya hota hai?

Safe sex woh practice hai jis mein hum contraceptives ka use karte hain taaki sexually transmitted diseases ya infections se bachch sake jo bodily fluids se exchange hote hain.

Ab baat karte hain STI’s/STD’s ke baare mein.

STI’s/STD’s Kya Hote Hain?

21.1.jpg


Sexually transmitted infections (STI’s) aur sexually transmitted diseases (STD’s) sexual contact ke through hone wale health concerns hain. Ye disease ya infection humein kisi already infected person ke saath close hone se ho sakta hai, aur bodily fluids jaise ki safed paani ke exchange hone ki wajah se ho sakta hain.

STIs/STDs Ke Kuch Common Types

Chlamydia

Chlamydia mein aksar sex ya urniation ke time par pain aur discomfort feel hota hai, discharge ka colour bhi yellow aur green hojata hai, aur lower abdomen mein bhi bahot pain hota hai.

HPV

HPV yaani human papillomavirus ek aisa virus hai jo ek se doosre person mein sexual ya skin-to-skin contact ki wajah se spread hota hai. HPV mein private parts, munh par aur throat pe warts yaani mausa ho jate hain.

Syphilis

Syphilis ek bacterial infection hai jis mein chote gol daane hote hain private parts aur munh par. Syphilis ke hone par symptoms badh jaate hain, jaise ki hair aur weight loss, joint pain, headaches aur fever, thakaan mehsus hona aur rashes hona.

HIV

HIV immune system ko damage kardeta hai aur iski wajah se aur alag tarah ke viruses aur bacteria hone ke chances badh jaate hain. Agar HIV treat nahi kiya gaya toh iski wajah se AIDS bhi ho sakta hain. HIV ke shuruat ek normal flu ki tarah hoti hai, jaise ki fever, body ache, gala kharab hona, sar dard, rashes, aur jee machalna.

Gonorrhoea

Ye bhi ek tarah ki bacterial STD hai, is mein vaginal discharge aksar yellow ya green colour ka aata hai. Sex aur urination ke time par pain aur discomfort bhi mehsoos hota hai. Urination bhi pehle se zyaada aata hai aur private parts mein itching bhi hoti hain.

Herpes

Ye ek bahot hi common STD hai aur ye 2 tarah ke hote hain- HSV-1 aur HSV-2 aur dono hi sexually transmit hote hain. HSV-1 herpes aapko orally affect karta hain aur HSV-2 tumhare private parts ko affect karte hain.

STI’s/STD’s Ke Symptoms

Bahot saare cases mein STI’s/STD’s ke symptoms noticeable nahi hote, aur noticeable symptoms aise hote hain:

STDs/STIs Ko Prevent Kaise Karein?

Ye toh humein pata chal gaya hai ki STI aur STD sexual contact aur skin-to-skin contact se spread hote hai, isiliye inko prevent karna bahot asaan hai. Humein apni sexual choices ke baare mein dhyaan dena chahiye, aur safe sex practice karna chahiye khud ko healthy aur safe rakhne ke liye.

21.2.jpg



Toh ab ye practice kaise karein?

Ek effective STI/STD prevention hamesha kisi bhi sexual activity ke pehle shuru hoti hai, yeh kuch steps hain jo humein safe rakh sakte hai:

  • Apne partner se honestly unki sexual history ke baare mein baat karo
  • Apne partner ke saath sexually engage karne se pehle saath mein STD test kara lena chahiye
21.3.jpg

  • HPV vaccine apne first-time se pehle lo
  • Contraception ka barrier method use karein jaise ki male ya female condoms, ye aapko STI/STD aur unchahi pregnancy se bachayenge.
  • Dental dams jaise condoms ko oral sex ke liye use karna chahiye.

21.4.jpg


STI aur STD ko prevent karna asaan hai, agar tumhein lagta hai ki tumhein in mein se koi bhi symptom hai toh tumhein jald hi ek online lady doctor se consult karna chahiye. Zaroori nahi hai ki tumhare private parts ya munh pe hua rash STI ka hi symptom ho, ek lady doctor tumhari problem ko diagnose kar ke uska sahi jawaab de paayegi. Aur lady doctor se consult kar ke tum apne liye safe aur sahitareeka dhundh sakti ho in sab infections aur beemariyo se bachne ke liye.

21.5.jpg


Apni lady doctor se bina kisi sharam ke consult karo aur sab sachi sachi unko batao taaki tumhari problem ka sahi solution nikal paaye. Aur humesha yaad rakhna Chhaa Jaa ke saath no sharmana no ghabrana!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/results?search_query=chhaa+jaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Source:

Sexually Transmitted Diseases: Types, Symptoms, Diagnosis, Treatment

Sexually transmitted infections (STIs)

Preventing STIs with Sexual Health Practices