Hi!!
Aaj is blog mein hum UTI yaani Urinary Tract Infection ke baare mein baat karne waale hain. UTI ke signs kya hote hain, inse kaise bach sakte hain aur lady doctor se consult kab karna chahiye? - in sab sawaalon ke jawaab tumko aaj ke blog mein milenge.
Urinary Tract Infections (UTI) woh infections hote hain jo humaare urinary system jismein kidneys, bladder aur urethra aate hain - in mein ho jaate hain. Zyaadatar infections lower urinary tract - bladder ya urethra mein hote hain. Infection jab bladder mein hota hai toh bahut painful ho sakta hai but agar infection kidneys tak spread kar jaaye toh health ke liye bahot serious ho sakta hai.
Isiliye jaise hi UTI ke symptoms dikhaai dein, jald se jald ek lady doctor ya urologist se consult karna chahiye. Urologist woh specialists hain jo UTI ya urine se jude problems ko diagnose karte hain aur uski treatment karte hain. Urologist urine ke saath kuch sexual aur private parts se related problems ko bhi diagnose karte hain.
UTI ki sahi pehchan karne ke liye humein pata hona chahiye ki uske signs kya hain. Humaare private parts ka khayal humein hi toh rakhna hai kyunki wo bhi humaari body ka ek hissa hain and humaari health ko affect karte hain.
Kabhi kabhi pata bhi nahi chalta ki kaise chhoti si baat badi problem mein change ho jaati hai. Hum private parts se judi problems ko aksar nazarandaz kar dete hain ya share karne mein sharmaate hain. Hum khul kar apni pareshani bata nahi paate aur lady doctor se share karne mein embarrassed feel karte hain, but humein bina ghabraaye apni problems ek lady doctor ya urologist ke saath share karni chahiye taaki uska solution mile aur hum healthy rah sakein.
Lady doctor woh experts hain jo private problems, sexual problems ya phir urine se related problems solve kar sakte hain aur humaari help kar sakte hain. Lady doctor ke paas bahut dikkat ho tabhi jaana zaroori nahi hai. Tum khud ko safe aur healthy rakhne ke liye regular check ups ke liye bhi lady gynecologist ke paas jaa sakti ho, aisa karne se tumhein tumhari body ke chhote se chhote change ke baare mein bhi pata chalta rahega. Aur is tarah se tum khud ko healthy rakh sakti ho.
Agar tumhe urine karte time private parts mein ajeeb si jalan ya pain mehsus ho raha hai toh shayad tumhein UTI (Urinary Tract Infection) ho sakta hai. Lekin agar ye pain 1-2 din tak lagataar ho raha hai toh ye normal nahi, turant hi tumhein iske liye kisi lady doctor ya urologist se consult karna chahiye. Tumhare pet ke nichle hisse ya private part mein pain ya inner thighs mein pain ho raha hai toh ye infection hone ke sign hain. Ye infection tumhari kidney ko bhi affect kar sakta hai aur bahot saare health complications bhi face karne padd sakte hain.
Urine karna bahut important hai humaari body ke liye kyunki hum jo paani peetein hain woh body mein jaa kar, humaari body se toxins ko filter karke urine ke form mein nikal jaata hai. But baar baar urine ka aana ya raat ke waqt zaroorat se zyaada washroom jaana, ye normal nahi hai. Agar tumhaare saath aisa baar baar ho raha hai toh jald hi tumhein ek lady doctor ya urologist se consult karna chahiye.
Urine ka colour change hona normal hai, kabhi kabhi paani kam peene ki wajah se colour mein changes aa sakte hain. Lekin agar tumhaare urine ka colour ek dum dark ho gaya hai ya dark orange ya phir blood ke rang ka hai, toh isse bilkul bhi nazar andaaz nahi karna chahiye. Aksar urine cloudy bhi ho jaata hai aur urine ki smell bhi extreme ho jaati hai. Ye sab signs hain ki tumhare private parts mein bacteria enter ho chuka hai. Agar tum aisa experience kar rahi ho toh bina kisi wait ke jald hi ek lady doctor se consult karo kyon ki ye serious problem ho sakti hai.
Lady doctor/ urologist se consult karna bahut important hai specially urine se related problems ko lekar kyon ki ye problems sirf private parts se nahi balki kidney se bhi judi hui hain, aakhir humaari body ka har part humaare liye bahut important hai.
Lady doctor ko apna khaas dost samjho, jo tumhaari private problems ke jhatt se solutions nikaal degi, tumhein comfortable bhi feel karwayegi, aur tumhari personal baatein tum dono ke beech hi rakhegi. Gynecologist se salaah lena aur informed rehna tumhein kisi bhi reproductive ya vaginal health problem hone se bacha sakta hai. Urologist ki help se tum khud ko aur apne private parts ko infection se bacha sakti ho aur woh tumhari problem ka turant solution de sakte hain.
Toh phir dil khol ke apne personal problems ka solution dhoondho, ek expert se consult kar ke. Bas phir, bina kisi hichkichahat ke online lady doctor ya online urologist se consult karo aur khud ko smart, brave, healthy aur strong banaao! Yaad hain naa? Chhaa Jaa ke saath no sharmana aur no ghabrana!
UTI Treatment Doctor | Ask a Gynecologist Online.
What Is A Urologist And What do Urologists Do? | Max Hospital.
Urinary tract infection (UTI) - Symptoms and causes
Urinary tract infections (UTIs)