Condom Kya Hai? Condom Kaise Use Karte Hai?

Condom Kya Hai

Contraception ya garbh nirodh ke different tareekon mein se sabse common hai: Condoms. Lekin kyon? Aur ye condoms actually mein hote kya hain? Chalo jaanate hain.

Condom/Kandom Kya Hai?

Condom ya Kandom ek latex/rubber se banaa, thin tube jaisa thailaa saa hota hai jisko sex ke dauraan ek barrier ki tarah pehna jaata hai. Ye semen ko vagina, rectum, ya mouth ke contact mein aane se rokta hai.

Condoms humein dono pregnancy aur STDs se bachaate hain jiske kaaran isko safest contraception maana jaata hai.

Condom Kaise Use Karte Hain?

Toh pehele yeh jaante hain ki condoms pehne kaise jaate hain. Aam taur par condoms do prakaar ke hote hain - ek hai Female condom, jisko sex ke dauraan vagina ke andar daala jata hai, aur doosre hai - Male condoms, jinko sex ke dauraan penis par pehna jata hai.

Chhaa Jaa laaya hai sab kuch 🫰 mein. Apne phone se judo Doctor se aur pooch daalo saare sawaal. Medibuddy ke saath. Humaare coupon code ka use karo aur free mein Doctor se baat karo

Ab jaanate hain, female aur male condoms ko pehenne ke sahi tareeke.

Female Condoms:

  • Female condoms use karne ke liye sabse pehle condom ko carefully wrapper se nikaalna hai.
  • Phir ek comfortable position dhundna hai, jaise ek leg ko chair par rakhke ya squat position mein.
  • Next, condom ke bandh hisse ke ring ke sides ko squeeze karna hai aur tampon ki tarah condom ko vagina ke andar insert karna hai.
  • Condom ko andar tab tak push karna hai, jab tak voh cervix tak na pahunche. Condom ka outer ring ko humare body ke bahar rehna chahiye.

Male Condoms:

  • Male condoms use karne ke liye condom ko wrapper se dhyaan se nikaalna hai.
  • Phir condom ke tip ko pakad kar erect penis ke tip par rakhna hai.
  • Condom ke tip par half-inch tak pinch karte huye usko penis ke full length tak unroll karna hai.

Female condom

Condoms Use Karne Par Kya Future Mein Koi Problem Hogi?

Seedhe shabdon mein, NAHI, condoms se future pregnancy mein koi problem nahi hogi. Condoms ko duniya ka sabse safest contraception maana jaata hai jisse na koi STD phailta hai aur na hi koi side effects hote hain.

Lekin agar tum latex se allergy ho, toh condoms mein non-latex options dhoondhna!

Conclusion:

Condoms ek contraception ka method hota hai jo sex ke dauraan use karne par ek barrier banke semen ko vagina ke andar jaane se rokta hai. Condoms na sirf humein pregnant hone se bachata hai par ye STDs se bhi humein protect kar sakta hai.

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

References:
https://www.webmd.com/sex/birth-control/birth-control-condoms
https://www.nhs.uk/conditions/contraception/male-condoms/