Ye white discharge kya hota hai? Kya private parts mein se discharge hona aam baat hai? Mujhe kya karna chahiye agar mere private parts mein se white discharge nikalta hai to?
Agar aapke man mein bhi aise hi kuch sawal hai safed discharge ko lekar to aage padhte rahiye, discharge ke baare mein aur janne ke liye.
Pehle to ye jana jaruri hai ki, private parts mein se safed liquid yaani ki white discharge nikalna normal hai. Ye koi bimari nahi hai bas ek natural process hai. Aur iske baare mein janna ya jaane ki curiosity rakhna bhi normal hai. Har kisi ko apne sharir ke baare mein jankari honi chahiye.
White discharge generally aapke periods ki cycle shuru aur khatam hone par hota hai, par ye har roz bhi ho sakta hai. Ye liquid aapke private parts se bacteria aur germs ko nikalta hai, aur aapke private parts ko safe aur healthy rakhta hai.
Jab aap white discharge ke baare mein sab jaan jayenge tab aapko samajh aayega ki ye bahut hi normal baat hai, aur iske baare mein darne ki ya sharmane ki koi jarurat nahi hai.
Vaise to women mein ye kaafi general hai par agar ye discharge kafi dinon tak rahe ya badbudar discharge aa jaye to ladies doctor ko dikhana zaruri ho jata hai.
Agar aapko isse related aur questions hain, to aap humare chatbot ko use kar sakte hai ya to ladies problem doctor ya healthcare provider ko contact kar sakte hai.
Online lady doctors ka kehna hai ki white discharge ka hona normal hone ke sath sath zaruri bhi hota hai. Yeh aapke vagina ko andar se saaf karne mein help karta hai. Jab tak white discharge se koi bad smell nahi aa rahi ya aapko irritation nahin feel ho rahi tab tak yeh normal hai.
Lekin, agar discharge ka color white na hokar green ya yellow hota hai, to aapko vaginal infection hone ke chances hain, aur aisa hone par apne gynecologist ko consult zarur karein.
Average vaginal discharge 1 din mein lagbhag 1 teaspoon (4-5ml) hota hai. Normal discharge white ya transparent liquid hota hai. Jo patla ya mota ho sakta hai, aapke body type ke hisab se. Normal discharge mein kis prakaar ki smell nahin hoti hai.
Jab aap ovulation period mein hote hai, jab aapka pregnancy phase hota hai, aur jab aapka menstrual cycle start hone wala hota hai tab white discharge thoda sa jyada hota hai. Ovulation se pehle aapke white discharge normal discharge se 30 times jitna badh jata hai.
Vaise to vaginal discharge normal aur essential hota hai, lekin kuch bacterial infection ki vajah se kuchh aise symptoms dikhte hain jo abnormal hote hain. Agar aapko inme se koi symptom dikhta hai, to aapko online lady doctor ke sath consultation ki zarurat hai.
Jab aapko aisa lage ki aap abnormal vaginal discharge face kar rahe ho, tab ghar par treatment shuru karne ki galati na karein. Apne gynecologist ya online lady doctor ko consult karke abnormal discharge ka sahi reason pata lagane ke baad treatment ke liye unke instructions ko follow karein. Agar aapko infectious symptoms dikhte hain aur aap treatment shuru karte hain, to aise waqt par intercourse prevent karein, jab tak aapka treatment khatam na ho jaaye.
Humare ladies problem doctor kehte hai ki, vaise to white discharge normal hai lekin abnormal white discharge se bachne ke liye aap in cheezon ka dhyan rakhe:
Aapke menstrual cycle ke starting mein aur khatam hone ke baad hota hai. Normal white discharge mein aapko itching nahi hota hai. Agar aapko itching ya irritation feel ho rahi hai, to ho sakta hai ki aapko yeast infection hua hai ya bacterial vaginosis jo off-white ya gray discharge ke roop mein dikhta hai.
Iss type ka discharge jab aap sexually active hota hai, ya masturbation ke baad, aur exercise ke baad hota hai.
Iss type ka discharge infection ka signal hai. Agar yeh thick hai aur aapko bad odor feel hota hai to yeh normal nahin hai.
Aapke menstrual cycle khatam hone ke baad bhi vagina ko old blood clean karne mein 1-2 din lagte hai. Jab old blood discharge hota hai tab uska colour brownish sa hota hai.
Agar aapko normal flow se zyada flow feel ho raha hai, aur agar aapne recently sex kiya hai, to aapko ek baar pregnancy test kar lena chahiye.
Vaginal discharge symptoms kuch factors par depend karta hai, jaise ki aapke sex ki consistency, aapke sex partners, aap konsa birth control use karte hai, aap kis tarike ke hygiene products use karte hai, yeh sabhi chizein aapke discharge ko affect karti hai.
Agar aapko apne area mein ladies doctor dhoondne mein dikkat ho rahi hai to yaha link click kare.