Aam taur par ek insaan virgin tab tak hota hai jab tak usne kabhi sex na kiya ho yaani kabhi physical naa hue ho. Lekin kya kisi ko dekh ke yaa unki body se unki virginity ka pata lagaya jaa sakta hai? Chalo pata karte hain.
Kyonki kai baar hymen sex ke dauraan fatt jaati hai, aksar virginity ko hymen ke hone ya na hone par judge kiya jaata hai. Ab yeh hymen kya hai?
Virginity ek society ka banaaya hua concept hai. Virgin un logon ko kehte hain jo kabhi physical nahi hue ho - chaahe boys ya girls ya koi aur. Aur kabhi physical naa hone waale is state ko virginity kehte hain. Toh chalo aaj hum virginity se judi kuch aur baatein jaanate hain.
Kyonki virginity ka matlab hi hai ki kabhi physical naa hue, toh ye obvious hai ki ek insaan sex ke baad dobara virgin nahi bann sakta hai.
Hymen humaari vagina mein present tissue ki bani ek patli, lachili, stretchable jhilli yaani membrane hoti hai. Par ye jaroori nahi ki hymen hamesha stretchable hi ho. Kai baar hymen physical hote time ya tampon ke use karne par fatt bhi sakti hai aur kai baar kai logon mein ye vagina mein present hi nahi hoti hai, jo ki kaafi normal hota hai.
Toh kya hymen se virginity pata chal sakti hai? Nahi. Hymen humaari body ka ek hissa hai aur sex ke alaava bhi doosri activities jaise exercise, cycling, vagairah se ye fatt sakti hai. Aur virginity ek society ka banaaya hua khel hai, iska humaari body se koi lena dena nahi hai - matlab ye ki body dekh ke koi ye nahi bata sakta ki aap kabhi physical hue hain ya nahi. Agar koi kabhi physical `naa hua ho toh us state ko virginity kehte hain, but kisi ki virginity check karna mushkil hi nahi naamumkin hai, fir chahe vo boy ho ya girl. Isiliye hymen aur virginity ke beech koi bhi relation nahi hai.
Aur kyonki virginity physically nahi detect ki jaa sakti hai, lady doctors bhi nahi bata sakte hai ki virginity lose hui hai ya nahi.
First time sex karne par har kisiko bleeding ho, yeh zaroori nahi hai. Yaani kuch ladkiyan bleeding experience kar sakti hain jabki kuch nahi bhi karti hain. Aur yeh dono hi case kaafi normal hain. Aam taur par, first time penetrative sex yaani penis ke vagina mein enter karne ke dauraan hymen ke stretch hone ya fattne ke kaaran hi halki si bleeding hoti hai. Par ye bhi har case mein zaroori nahi. Aur fir agar hymen pehle se present hi naa ho ya pehle kabhi khelte koodte time fatt jaaye, toh aise mein bilkul bleeding nahi hogi - jo ki normal hai.
Hymen aur virginity ke baare mein aur jaanane ke liye tum apni lady doctor se bejhijhak baat kar sakti ho. Ek lady doctor bina kisi judgement ke tumhari body aur sexual aur reproductive health se jude saare sawaalon ka jawab de sakti hain.
आम तौर पर एक इंसान वर्जिन तब तक होता है जब तक उसने कभी सेक्स न किया हो यानि कभी शारीरिक ना हुए हो। लेकिन क्या किसी को देख के या उनकी बॉडी से उनकी वर्जिनिटी का पता लगाया जा सकता है? चलो पता करते हैं।
क्यों कई बार हाइमन सेक्स के दौरान फट जाती हैं, अक्सर विर्जिनिटी को हाइमन के होने या ना होने पर जज किया जाता है। अब ये हाइमन क्या है?
हाइमन हमारी वाजइना में प्रेजेंट टिश्यू की बनी एक पतली, लचीली, स्ट्रेचेबल झिल्ली यानी मेम्ब्रेन होती है। पर ये जरूरी नहीं की हाइमन हमेशा स्ट्रेचेबल ही हो। कई बार हाइमन फिजिकल होते टाइम या टैम्पोन के इस्तेमाल करने पर फट भी सकती है और कई बार लोगों में ये योनि यानि वाजइना में प्रेजेंट ही नहीं होती, जो कि काफी सामान्य होता है।
तो क्या हाइमन से वर्जिनिटी पता चल सकती है? नहीं। हाइमन हमारी बॉडी का एक हिसा है और सेक्स के अलावा भी दूसरी गतिविधियां जैसे व्यायाम, साइकिलिंग वगैरह से ये फट सकती है। और वर्जिनिटी एक सोसाइटी का बनाया हुआ खेल है, इसका हमारी बॉडी से कोई लेना देना नहीं है - मतलब ये कि बॉडी देख के कोई ये नहीं बता सकता कि आप कभी फिजिकल हुए हैं या नहीं। अगर कोई कभी शारीरिक ना हुआ हो तो हम इस स्टेट को वर्जिनिटी कहते हैं, लेकिन किसी की वर्जिनिटी की जांच करना मुश्किल ही नहीं नामुमकिन है, फिर चाहे वो लड़का हो या लड़की। इसलिए हाइमन और वर्जिनिटी के बीच कोई भी रिश्ता नहीं है।
और क्योंकि वर्जिनिटी फिजिकली नहीं डिटेक्ट की जा सकती है, लेडी डॉक्टर्स भी नहीं बता सकती हैं कि वर्जिनिटी लूज़ हुई है या नहीं।
फर्स्ट टाइम सेक्स करने पर हर किसी को ब्लीडिंग हो, ये जरूरी नहीं है। यानी कुछ लड़कियां ब्लीडिंग एक्सपीरियंस कर सकती हैं जबकि कुछ नहीं भी करती हैं। और ये दोनों बातें नॉर्मल हैं। आम तौर पर, पहली बार पेनेट्रेटिव सेक्स यानि पेनिस की योनि में एंटर करने के दौरान हाइमन के स्ट्रेच होने या फटने के कारण ही हलकी सी ब्लीडिंग होती है। पर ये भी हर केस में ज़रूरी नहीं! और फिर अगर हाइमन पहले से प्रेजेंट ही ना हो या पहले कभी खेलते समय फट जाए, तो ऐसे में बिलकुल ब्लीडिंग नहीं होगी - जो कि नॉर्मल है।
हाइमन और वर्जिनिटी के बारे में और जानने के लिए तुम अपनी लेडी डॉक्टर से बेझिझक बात कर सकती हो। एक लेडी डॉक्टर बिना किसी जजमेंट के तुम्हारी बॉडी और सेक्शुअल और रिप्रोडक्टिव हेल्थ से जुड़े सारे सवालों का जवाब दे सकती हैं।
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
12 Questions About Virginity and Your Hymen Answered by Doctors
Does a woman always bleed when she has sex for the first time? - NHS.