Contraception ka ek common tareeka hai “Withdrawal Method”. Isme male apna paani yaani semen vagina ke bahar nikaalta hai , tabhi isse Pull Out method bhi kehte hain.
Lekin yeh pregnancy rokne ka bahut effective tareeka nahi hai kyunki bohot baar paani bahar nikaalne ke baad bhi male ke sperms yaani shukraaṇu, female ke eggs yaani ande tak pahunchne mein successfulho sakte hain.
Yeh pregnancy se bachne ka sabse aam tarika rehtahai. Iske peeche sabse bada kaaran hai - ye tareeka free bhi hai aur aasaan lagta hai. Aur toh aur pregnancy se bachne ke liye ye tareeka use karne par kisi doctor ke prescription ki zaroorat bhi nahi padti hai.
Pregnant hone se bachne ke liye bahot saare tareeke hain, par in mein agar withdrawal method ke baare mein baat karein toh iske successful hone ke chances kam hi rehte hain.
Iska main reason hai pull out karne ka sahi time kya hota hai, ye pata karna mushkil hai, kyunki bohot baar male ka paani ya semen ek dum se nikal sakta hai aur vagina mein enter ho sakta hai. Aur toh aur logon ko ye pata nahi hota ke male ke paani nikalne se pehle bhi kuch liquid saa bahar aata hai jisse precum kehte hain aur iske saath bhi sperms aate hain jisse pregnancy hone ka kaafi chance rehta hai.
Ye hi nahi withdrawal method mein STD hone ke chances toh ekdam bharpoor rehte hain kyonki is tareeke mein hum sex ke dauraan condom nahi istemaal karte. Kuch logon mein ye sex ke dauraan hone waale pleasure ko bhi kamm kar deta hai!
Agar tumhein garbh nirodh aur contraception ke different methods se jude sawaalon ke jawab chahiye, to tum apne lady doctor se bejhijhak poochh sakti ho.
Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho, ya Bol Behen pe pooch sakti ho!