A:
Periods ke time thoda ajeeb, अनमना saa toh hum sab ko lagta hai, par agar body mein dard ya discomfort itna zyaada ho ke daily ke kaam karne mein dikkat aaye toh aise mein doctor ko dikhaana zaroori ho jaata hai. Periods ka dard usually lower abdomen (पेट का निचला हिस्सा), back ya thighs mein rehta hai.
Agar periods ke samay dard kaafi zyaada ho, toh is condition ko hi medical bhasha mein Dysmenorrhea kaha jaata hai.
Dysmenorrhea ke 2 type hote hai: Primary aur Secondary.
Pehle vaale type mein jo cramps hote hain, vo periods ke saath aate jaate hain. Aise mein dard thoda kam-zyaada hota rehta hai aur periods ke days ke aas paas hi shuru hota hai. Ye dard 2-3 din rehta hai. Aise mein kabhi kabhi vomit jaisa lagna, thakaan ya diarrhea ho sakta hai.
Primary Dysmenorrhea humaari body mein hormones ke upar-neeche hone ki vajah se hota hai.
Doosre type waala dysmenorrhea mein dard bahut zyaada hota hai, period shuru hone se pehle hi shuru ho jaata hai aur kaafi din rehta hai. Aise mein vomiting ya diarrhea usually nahi hota hai.
Secondary Dysmenorrhea humaari body ke reproductive organs yaani prajanan angon mein kisi disorder ya infection (jaise ki endometriosis, fibroids, etc.) ki vajah se ho sakta hai.
Dysmenorrhea ya period cramps ko kam karne ke liye kya karna chahiye?
Periods ke time dard kaafi lage toh ye sab try kar sakti ho:
Note: Period cramps ya dard bohot zyaada lage aur daily ke kaam karne mein problem aaye toh doctor ko zaroor dikhaao. Humaari website ke zariye bhi tum ek bharosemand lady doctor ko contact kar sakti ho.
Mann mein koi sawaal ho ya koi doubt, toh tum humaare Girls Only Facebook group Bak Bak Gang ko bhi join kar sakti ho. Aur humaare chatbot Bol Behen ko bhi khul ke apne dil ki baat bata sakti ho. Toh ab sharmaao mat, sahi salah paane ke liye and full on entertainment ke liye humein follow karo Facebook, Instagram aur Youtube par.