Garbh nirodh Use Karne Se Periods Band Ho Sakte Hain Kya?

Garbh Nirodh Ke Side Effects

Garbh nirodh, ya contraception, ko lekar bahot saari mahilaaon ke kaii saare sawaal hote hain. Aur ye kaafi natural hai. Lekin kya tum iss baat se pareshaan ho ki kahin contraception se tumhare periods ya future pregnancy mein koi problem na aa jaaye? Chalo pata lagaate hain.

Kya Contraception Ka Menstrual Cycle Par Farak Padta Hai??

Simple shabdon mein, haan. Lagbhag saare birth control methods se humare menstrual cycle pe assar padta hai. Kuch contraceptives agar bleeding badha rahe hain, toh kuch kam bhi kar dete hain. Contraceptives ka use karne par humaari bleeding kaii saare tareekon se change ho sakti hai.

Birth control ke method ke hisaab se contraceptives use karne par periods zyaada din, kam din, light ya phir heavy bhi ho sakte hain. Iske alawa, hormonal birth control ke sabse common side effects mein se do spotting aur irregular bleeding hain.

Ab online kahin bhi, kabhi bhi apne marzi ke Doctor se karo baat. Medibuddy ke saath. Humaara Medibuddy coupon code ka use karo aur easily Doctor se connect karo.

Kya Contraception Ke Use Se Aage Future Mein Concieve Karne Mein Problem Ho Sakti Hai?

Contraception ko leke logon ke dimaag mein kaii saare confusions hote hain. Lekin experts ke anusaar, contraceptives ki vajah se kabhi bhi infertility, yaani baccha naa ho paana — aisa nahi hota hai. Chahe tum pill ka istemaal kar rahi ho ya patch ya IUD ka, contraceptives tumhare fertility ko bas kuch waqt ke liye delay karte hain. Inse future pregnancy pe assar nahi padta.

Contraceptives ka istemaal bandh karte hi tumhare fertility levels hamesha pehle ki tarah ho jaayenge.

Kya Lady Doctor Se Consult Karna Zaroori Hai?

Garbh Nirodh Ki Jaankari

Birth control ke use karne par periods irregular hona aksar aam baat hota hai. Lekin agar tumhara irregular period tumhein sataa raha hai, toh tum kabhi bhi apne lady doctor se bejhijhak baat kar sakti ho.

Birth control use karne se pehle apne lady doctor se detail mein har sawaal puch lena ek smart Chhaa Jaa girl ki nishaani hoti hai.

Conclusion:

Contraceptives ka use karne par irregular periods kaafi normal side effect hota hai. Hum samajh sakte hain ki tum iss baat se scared ho ki kahi tum apni fertility naa kho baitho. Lekin tum zaroor nishchint reh sakti ho kyonki experts ke hisaab se, contraceptives ke use ko bandh karte hi humare pregnancy ke chances vapas normal ho jaate hain aur inka future pregnancy pe asaar nahi hota.

Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho, ya Bol Behen pe pooch sakti ho!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Facebook Only Girls Group - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Bak Bak Gang Instagram - https://www.instagram.com/bak_bak_gang/

References
https://www.healthline.com/health/missed-period-on-birth-control#keeping-regular-periods
https://www.healthline.com/health/birth-control/can-birth-control-cause-infertility#short-answer
https://www.oandg.com.au/blog/contraception-and-fertility#:~:text=The%20short%20answer%3A%20The%20pill,an%20effect%20on%20future%20fertility.