Kya Garbhnirodh Male Aur Female Dono Ke Liye Ek Jaisa Hota Hai?

Male and Female Condom

Pregnancy rokne ke upaay toh kai hote hain. But garbhnirodh ya contraception ke itne saare options dekh ke kai baar log aur zyaada confuse ho jaate hain. Agar tum bhi isi confusion ke shikaar ho, toh aao, hum tumhaare saare bade sawaalon ka answers bataatein hain.

Pregnancy Se Bachne Ke Upaay

Kya sex karke pregnancy se bachna possible hai? Bilkul possible hai. Pregnancy rokne ke liye kai saare techniques aur methods hote hain jinko contraception ya garbhnirodh kaha jaata hai.

Contraception ke main types mein aate hain: Barrier Methods (condoms), Contraception Pills, Intrauterine Devices (IUD), aur Sterilization.

Chhaa Jaa laaya hai sab kuch 🫰 mein. Apne phone se judo Doctor se aur pooch daalo saare sawaal. Medibuddy ke saath. Humaare coupon code ka use karo aur free mein Doctor se baat karo.

Males Aur Females Ke Liye Condom/Kandom Alag Hote Hain?

Condoms ek barrier contraception method hai jo sex ke dauraan semen (male ka paani) ko vagina ke andar jaane se rokta hai. Condoms dono male aur female ke liye alag hote hain.

Female Condom Kya Hai? Iska Use Kaise Kiya Jata Hai?

Female condoms voh condoms hote hain jinko vagina ke andar insert kiya jaata hai. Iss tarah ke condoms ko sex ke 8 ghantein pehle tak insert kiya jaa sakta hai.

Female condoms ko use karne ke liye wrapper mein se nikaal kar ek comfortable position mein khada hona hai. Yaani ya toh ek leg chair pe rakhke ya phir squat position mein rehke. Phir condom ke bandh hisse ko squeeze karke vagina mein achhe se insert karna hai jab tak cervix naa aa jaaye.

ECP Aur OCP Kya Hai? Inn Mein Kya Difference Hai?

Emergency Contraception

Emergency contraception pill ya morning after pill ek aisa pill hota hai jo hamari body mein ovulation ko prevent ya delay karke pregnancy ko rokta hai. Kai baar ECPs humaare body mein fertilisation ya implantation ko prevent karke bhi pregnancy ko rokta hai.

Doosri taraf, oral contraception pills ya birth control pills humare body mein estrogen ke saath levonorgestrel ya kisi prakaar ke progestin release karke ovulation ko delay karta hai.

ECPs aur OCPs mein major difference unke duration mein hai. ECPs sex ke baad 3 dino tak ek baar liya jaata hai, jabki OCPs har roz same time par liya jaata hai.

ECP Ko Kitni Baar Lena Sahi Hai?

ECPs sex karne ke turant baad ek hi baar lena kaafi hota hai. Lekin agar ECP lene par tumhe vomitting ho jaye, tab tumhe ek dose se jyaada bhi lena padd sakta hai.

Lekin dhyaan rakhna ki ECPs sirf ‘emergency’ situations ke liye hi istemaal kiye jaate hain aur inko frequently use nahi karna chahiye. Agar tum long term pregnancy prevention ke liye pill options dhoondh rahi ho, toh phir OCPs better options hote hain.

Pregnancy Ko Rokne Ke Liye Tablet

Abortion

Halaanki emergency contraception ke liye kisi prescription ki jarurat nahi padti, birth control pills ke liye, hamesha ek acche lady doctor se consult karna chahiye. Ek lady doctor tumhe tumhare body ke hisaab se pills prescribe karegi.

Conclusion:

Aaj kal duniya mein har kisi ke liye contraception ke kai options hain. Males ke liye ho ya females ke liye. Temporary solution ho ya permanent sterilization. Aur agar inn options ke vajah se tum confused ho, toh kabhi bhi apne lady doctor se bejhijhak apne concerns puch lena mat bhulna.

Agar tumhein garbhanirodh aur contraception ke different methods se jude sawalon ke jawab chahiye, to tum apne lady doctor se bejhijhak poochh sakti ho. Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho, ya Bol Behen pe pooch sakti ho!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa

Facebook Only Girls Group - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Bak Bak Gang Instagram - https://www.instagram.com/bak_bak_gang/

References
https://www.who.int/news-room/fact-sheets/detail/emergency-contraception
https://www.medicalnewstoday.com/articles/how-many-times-can-you-take-plan-b
https://www.mayoclinic.org/drugs-supplements/levonorgestrel-oral-route/description/drg-20074413#:~:text=Levonorgestrel%20is%20an%20emergency%20contraceptive,of%20the%20uterus%20(womb)