Agar aap garbh nirodhak goliyaan leti hain -- yaa unhein lene ke baare mein soch rahi hain -- toh aap akele nahi ho! "Garbh Nirodhak Goli" aaj kal mahilaon ke beech sabse popular garbh nirodh option hai. Yeh unplanned pregnancy se bachne ke sabse safe tarikon mein se ek hai.
Pregnancy rokne ki tablets different types ki hoti hain. Kuch mein progesterone aur estrogen hormone dono hote hain, inhe combined pills kaha jata hai. Aur kuch goliyaan aisi hoti hain jin mein sirf progesterone hota hai. Har tarah ki goli har female ke liye suitable nahin hoti hai, isliye bina Lady Doctor se salaah liye in contraception pills ko use nahi karna chahiye.
Garbhanirodhak goli lene ka tarika bahut easy hai. Sabse pehle, aap jo pills already le rahe hain uske branḍ ke instructions ko padhe aur Lady Doctor ki advice follow karein. Aam Taur par garbh nirodhak goli roz ek fixed time par leni chahiye. Iske liye aap din mein koi bhi time fix kar sakte hain. Agar aap kisi din pill miss kar dete hain to, jaise hi aapko yaad aaye ek ṭableṭ lein aur phir agle din fixed time par agli ṭableṭ lein. Agar aap ek goli lena bhool gaye hain aur next day pill lene ka time ho gaya hai toh us din do goliyan ek saath lein aur phir pehle ki tarah daily single goli lete rahein.
Zyada Tar ladies pregnancy se bachne ke liye garbh nirodhak goliyon ka use karti hain because yeh ek easy tarika hai, isliye bahut baar inka use long time ke liye ho jaata hai, jo ladies ki health ke liye safe nahi hai.
Agar aap kuch time se tablets le rahe hain aur aapko koi side effect nazar nahi aa raha hai toh aap jab tak chahein contraception pills use kar sakte hain.
Maximum ladies ke liye garbhanirodhak goliyon ka long time use safe hai. Lekin aisa sabke saath nahi hota hai. Har kisi ki body alag hoti hai. Pregnancy rokne waali goliyon ke saath har kisi ka experience ek jaisa nahi hota hai.
Agar tumhein garbhanirodh aur contraception ke methods se jude sawaalon ka jawab chahiye, toh tum apne lady doctor se bejhijhak poochh sakti ho. Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har sawal ka jawab binaa kisi jhijhak ke de sakti hai.Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte hai!
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources :