Period Pain Kyon Hota Hai?

Period Pain Kyon Hota Hai?

“Jab bhi mujhe periods hone wale hote hain, mere shareer mein bahot dard shuru ho jata hai. Kamar, pet aur pairo mein itna dard hota hai ki mujhe dawai leni padti hai. Kya aisa hona normal hai?”

16 years old, Kota

Hi!

Apna itna zaroori aur personal sawaal humse poochne ke liye bahot bada thank you! Iss sawaal ke jawaab se sirf tumhari nahi aur bhi bahot saari ladkiyon ki madad hogi. Toh chalo ab hum mil kar tumhare sawaalon ka jawab dete hain.

Jaise ki tumne apne sawaal mein likha hai ki tumhein pet, kamar aur pairo mein bahot dard hota hai. Ussi tarah periods yaani blooding se pehle hum sab ladkiyon ko koi na koi problem hoti hain. Jaise kuch ladkiyon ka mann machalne lagta hai, sar mein dard rehta hai, pet fool jata hai aur kabhi kabar bukhaar bhi aata hai. Isilye tumhein chinta karne ki zaroorat nahi hai, yeh sab changes hona normal hai, aur hum sab hi periods ke dino mein inn changes se guzarte hain, tum is mein akeli nahi ho.

Agar tumhara pain tumhari bardhaasht se bahar hai aur tum apni rozana zindagi ke kaamnahi kar paa rahi toh tumhein ek acchi lady doctor se consult karne ki zaroorat hai. Ek lady doctor tumhari problem samjhegi aur uska sahi soution bhi tumhein dengi.

Periods Mein Dard Kyon Hota Hai?

period cramp


Tumne periods ke waqt bahot dard mehsoos kiya hoga, haina? Pet mein dard aur uterus yaani pet ke nichle hisse mein cramps padna bahot common hai. Iske peeche hormones zimmedaar hai. Dekho, blooding mein tumhare uterus ki jo lining hoti hai, vo tumhare shareer se nikalti hai. Aur yeh ek hormone ki wajah se hota hai jisse hum “prostaglandins” kehte hain. Simple shabdon mein yeh tumhare uterus ki lining ko nikaalne mein madad karta hai. Issi hormone ki wajah se uterus sikudta hai aur tumhein cramps ka ehsaas hota hai.

period pain


Par agar tumhara shareer yeh bahot zyada maatra mein bana raha hai toh tumhein bahot zyada cramps aur dard bhi hoga.

Toh Phir Period Se Pehle Body Mein Dard Kyon Hota Hai?

Yeh sawaal sirf tumhare mann mein nahi, bahot saari ladkiyon ke mann mein hai. Waise toh yeh hormones mein badlaav ki wajah se hota hai par iske peeche ke reasons poori tarah experts bhi nahi bata sakte.

Hormones ke alava humare brain ke chemical changes ki wajah se bhi blooding se pehle body mein dard hona shuru hojata hain. Brain ek serotonin naam ka hormone release karta hai jo humare mood par asar daalta hain. Blooding ke pehle serotonin ka level humari body mein kamm hojata hai jiski wajah se hum low mehsoos karte hain.

Humein periods ya menses har mahine hote hain par uske aane se pehle humare mood ya body mein bhi kuch changes aate hai jinhe hum aksar andekha kar dete hain. Yeh periods aane se just pehle shuru ho jaate hain aur iss stage ko hum Premenstrual Syndrome kehte hain. Iske baare mein hum aage aur jaanenge.


PMS


PMS Ke Symptoms Kya Hai?

Yeh tumhare periods aane se 7 se 10 din pehle shuru ho jata hai. Iske kuch lakshan yeh hai:

  • Mood mein badlaav
  • Depression ya low feel karna
  • Pet ke nichle hisse mein dard hona
  • Sar dard
  • Breast mein soojan
  • Pimple aur muhaanse
  • Kuch namkeen ya chatpata khaane ki icchha
  • Thakaan
  • Gussa aur chidchidapan
  • Fever
  • Body aur muscle mein pain
  • Chakkar aana

Zaroori nahi hai ki tumhein yeh saare symptoms ho. Har ladki ki body, aur lifestyle alag hoti hai, aur ussi wajah se hum sab ki blooding cycle different hoti hain. Isiliye sabko alag alag symptoms ho sakte hain aur kisi ko kamm toh kisi ko zyada bhi ho sakte hain. Hum isse poori tarah khatam toh nahi kar sakte par haan, isse control ya kamm zaroor kar sakte hain.

periods me pet dard

Tum garam paani se sikai kar sakti ho, healthy kha sakti ho, aur lady doctor ki salah se medicines le sakti ho apne pain ko kamm karne ke liye. Agar tumhein zara bhi pareshaani ho toh jaldi hi ek acchi lady doctor se salah leni chahiye, woh tumhari problem bhi samjhegi aur tumhein sahi treatment bhi dengi.

lady doctor




Humein tum par poora bharosa hai ki tum apni health ka achhe se dhyaan rakh sakti ho! Baaki hum humesha tumhare saath hain. Koi bhi pareshaani ho humse bejhijhak poocho. Kyonki Chhaa Jaa ke saath no sharmana, no ghabrana!

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/results?search_query=chhaa+jaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Sources:

PMS: Signs and Symptoms

Menstrual cramps - Symptoms and causes - Mayo Clinic

Why Do Periods Hurt? Cramps, Headaches, and Breast Pain

Period Flu: Why You Feel So Bad Before Your Period