Chhaa Jaa ke blogs ab padhiye Hindi mein bhi. Kahan? Issi page par neeche scroll karke!
Pregnancy ke dauraan bleeding hona normal baat hoti hai khaas karke pehle trimester ke waqt. Par kabhi kabhi, pregnancy mein blooding koi serious issue ka sign ho sakti hai. Toh chalo jaante hain ki iske kya kaaran ho sakte hain.
First trimester yaani pregnancy ke pehle teen mahino mein, bleeding hona natural hota hai. Par yeh bleeding doosre reasons se bhi ho sakti hai jaise ki :
Second aur third trimester ke dauran bleeding hona ek serious problem ho sakta hai. Yeh bhi kai reasons se ho sakta hai jaise ki :
Inke alava, cervical issues jaise cervical infection, inflamed cervix, ya cervix mein growth, ki vajah se bhi pregnancy mein blood aa sakte hai.
Pregnancy naturally kaafi confusing ho sakti hai. Kaunse normal changes hote hain aur kaunse pareshaani waale, ye decide karna kaafi mushkil ho sakta hai. Pregnancy ka sabse common aur early symptom hai - vaginal discharge jo conception ke ek se do hafton mein dikhaai dena shuru ho jaata hai. Pregnancy ke time par, vaginal discharge normal hota hai. Isse infections womb aur embryo tak nahi pahonch paate hain.
Pregnancy ka last phase aate aate white discharge aur frequent ho jaata hai. Iss last phase mein discharge kai baar sticky aur jelly jaise texture waala ho jaata hai. Isse ‘show’ kaha jaata hai aur ye cervix mein rehne wala mucus bahar nikal aane par hota hai. ‘Show’ labour ka ek early sign hai aur body ka indication ki voh apne aap ko childbirth ke liye ready kar rahi hai.
Implantation bleeding ke alava pregnancy mein bleeding hona aksar normal nahi hota hai. Agar kisi bhi point par tum pregnancy ke dauraan bleeding notice karti ho toh tumhe jald se jald apne lady doctor ke saath ek appointment book kar leni chahiye.
First trimester mein blood aana common hota hai kyonki yeh most of the times implantation ka indication hota hai. Lekin kyonki ye dusre kaaranon ke vajah se bhi ho sakta hai, jaise miscarriage, ectopic pregnancy, etc. toh aise mein tumhe jald hi ek lady doctor se jaanch karwa leni chahiye.
फर्स्ट ट्राइमेस्टर यानी प्रेगनेंसी के पहले तीन महीनों में, ब्लीडिंग होना नैचुरल होता है। पर यह ब्लीडिंग दूसरे रिज़न्स से भी हो सकती है जैसे कि:
सेकंड और थर्ड ट्राइमेस्टर के दौरान ब्लीडिंग होना एक सीरियस प्रॉब्लम हो सकती है। ये भी कई रीज़न्स से हो सकती है जैसे कि:
इनके अलावा, सर्विकल इश्यूज जैसे सर्विकल इन्फेक्शन, इनफ्लेम्ड सर्विक्स, या सर्विक्स में ग्रोथ की वजह से भी प्रेगनेंसी में ब्लड आ सकता है।
प्रेगनेंसी नैचुरली काफी कन्फ्यूजिंग हो सकती है। कौनसे नॉर्मल चेंजेस होते हैं और कौनसे परेशानी वाले, ये डिसाइड करना काफी मुश्किल हो सकता है। प्रेगनेंसी का सबसे कॉमन और अर्ली सिम्टम है - वजाइनल डिस्चार्ज जो कन्सेप्शन के एक से दो हफ़्तों में दिखाई देना शुरू हो जाता है। प्रेगनेंसी के टाइम पर, वजाइनल डिस्चार्ज नॉर्मल होता है। इससे इन्फेक्शन्स वूम्ब और एम्ब्रियो तक नहीं पहुँच पाते हैं।
प्रेगनेंसी के लास्ट फेज़ आते आते व्हाइट डिस्चार्ज और कॉमन हो जाता है। इस लास्ट फेज़ में डिस्चार्ज कई बार स्टिकी और जेली जैसा हो जाता है। इसे 'शो' कहा जाता है और यह सर्विक्स में रहने वाला म्यूकस बाहर निकल आने पर होता है। 'शो' लेबर का एक अर्ली साइन है और बॉडी का इंडिकेशन है कि आप चाइल्डबर्थ के लिए रेडी हो रहे हो।
इम्प्लांटेशन ब्लीडींग के अलावा प्रेगनेंसी में ब्लीडिंग होना अक्सर नॉर्मल नहीं होता है। अगर किसी भी पॉइंट पर तुम प्रेगनेंसी के दौरान ब्लीडिंग नोटिस करती हो तो तुम्हें जल्द से जल्द अपने लेडी डॉक्टर के साथ एक अपॉइंटमेंट बुक कर लेनी चाहिए।
फर्स्ट ट्राइमेस्टर में ब्लड आना कॉमन होता है क्योंकि यह ज़्यादातर इम्प्लांटेशन का इंडिकेशन होता है। लेकिन क्योंकि ये दूसरे कारणों के वजह से भी हो सकता है, जैसे मिसकैरेज और एक्टोपिक प्रेगनेंसी। तो ऐसे में तुम्हें जल्द ही एक लेडी डॉक्टर से जांच करवा लेनी चाहिए।
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
Vaginal Bleeding and Blood Clots During Pregnancy
Bleeding during pregnancy Causes - Mayo Clinic
Also Read : Kya Pregnancy Mein White Discharge Nikalta Hai?