Garbh nirodh kaii saare type ke hote hain. Aur har ek tareeke ki pregnancy rokne ki power alag alag hoti hai. Ab ye toh hum jaante hain ki contraception itna powerful hota hai ki ye humaari body mein pregnancy ko rok deta hai, toh aise mein kya inke side effects hona bhi possible hai? Chalo pata karte hain.
Ab kyonki market mein garbh nirodh ke itne saare types available hain, chalo iss sawaal ka jawaab bhi har ek contraception ke type ke liye alag se dete hain.
IUD device ka istemaal karne par side effects aksar mild hote hain. Jaise acne, irregular periods, aur cramping.
Contraceptive implants aksar safe hote hain, lekin bahot kam logon ko kaii side effects bhi experience hote hain. Jaise peeth mein dard, irregular periods, sex drive ki kami, mood swings, nausea, vagairah.
Contraceptive Injections ka sahi istemaal karne par ye 99% tak positive results dete hain. Bahot kam cases mein log sar dard, mood swings, weight gain, breasts mein halka dard, irregular periods aise symptoms bhi dekh sakte hain.
Shots/injections ko istemaal karne ke baad tumhari fertility yaani pregnant hone ki ability ko normal hone mein ek saal tak lagg sakta hai. Iss vajah se agar tum pregnancy plan kar rahe ho, toh inka use pehle se band kar dena chahiye.
Inn contraception methods ke common side effects mein aate hain nausea, sar dard, irregular periods, mood swings, aur breasts mein halka dard.
Emergency pill yaani 72 hour waali pill use karne par nausea, kaafi thakaan, aur periods ki dates mein badlaav jaise side effects experience kar sakte hain.
Baaki contraceptives se compare karein, toh barrier methods, jaise condoms aur diaphragms, ke usually koi side effects nahi hote. Haan, agar tumhein latex se allergy hai, tab tumhein plastic ya aise kisi aur material se banee condoms use karne chahiye!
Nirodh, ya condom, one time use product hai jisko sex ke dauraan aap ek baar use kar sakte ho. Iska matlab hai har naye intercourse ke session ke dauraan aapko naya condom istemaal karna chahiye.
Garbh nirodh pregnancy ko rokne mein bahot effective hote hain. Maana unke kuch side effects ho sakte hain, par aapko sirf ye karna hai ki apni lady doctor se baat karke apne liye jo bhi tareeka best hai usko dhoondh nikaalo. Garbhnirodh ka koi bhi tareeka use karne se pehle hamesha apni lady doctor se apne concerns share karke unki raay lena zaroori hai. Ek lady doctor tumhare birth control se jude har sawal ka jawaab bina kisi judgement ke de sakti hai.
Agar tumhein garbhanirodh aur contraception ke different methods se jude sawalon ke jawab chahiye, to tum apne lady doctor se bejhijhak poochh sakti ho. Ek Lady Doctor tumhari sexual health se jude har savaal ka jawab binaa kisii jhijhak ke de saktii hai. Ya fir tum paas hi kisi Parivar Seva Clinic ki sewaaon ka upyog kar sakte ho, ya Bol Behen pe pooch sakti ho!
References