Chhaa Jaa ke blogs ab padhiye Hindi mein bhi. Kahan? Issi page par neeche scroll karke!
Sex ke baad pregnancy ka darr lagna bilkul normal hai. Unwanted pregnancy avoid karne ke liye protection sex ka ek bahot important part hota hai. Condom contraception ka sabse common tareeka hai par iske alawa condoms humein na sirf pregnancy rokne mein help karta hai par sexually transmitted diseases or infections se bhi bachaata hain.
Contraception ke doosre ways hain, lekin aao contraception doosre tareeko ke baare mein jaante hain.
Pregnancy ko rokne ke kai saare effective methods hain, aur ye properly follow karne par tum pregnant hone se bach sakti ho. Tum apni needs aur concerns ko dhyaan mein rakhte hue aur lady doctor se consult karne ke baad, inn mein se koi bhi tareeka chun sakti ho.
Contraception ke bahut saare methods hain. Inn mein sabse common hote hain:
Pregnancy se bachne ke liye birth control pills contraception ka ek preferred method hain. Ye hormonal pills ovulation ko rok kar pregnancy ko prevent kar sakte hain. Ye pills humaare cervix ke mucus ko bhi thick kar dete hain jiske kaaran sperm, egg tak nahi pahonch paata hai.
Emergency contraceptive pills backup pills ke taur par use kiye jaate hain. Yeh unprotected sex ke 72 ghanto ke andar ek baar leni chahiye.Issey jitne jaldi le, pregnancy rokne ke chance 95% tak kam ho jaate hain.
Emergency contraceptive pills toh humein bas pregnancy se baccha sakta hain lekin jo infections ya beemariyan hain unse ye pills nahi bacha sakte.
Unchahi pregnancy se bacchne ke bahot sare tareeke hain. Ye tum par depend karta hain tum konsa method apnate hain. Tum koi bhi method use kar sakti ho apni comfort ke according aur inka tumhari body pe koi bhi harmful effect nahi hoga.
IUD yaani Copper-T ek T-shape ka device hota hai jo uterus me insert kiya jaata hai aur sperm ko enter karne se rokta hai. Isiliye IUD ko lambe samay tak birth control ke liye effectively use kiya jaata hai.
Agar pregnancy test lene par result positive aaya toh tumhein turant ek lady doctor se consult kar lena chahiye. Ek lady doctor tumhein tumhaare next steps ke saare options bata sakti hain. Chahe voh abortion ke baare mein ho ya hone waale bacche ka khyaal kaise rakhna hai is baare mein!
Ek lady doctor tumhein contraception mein bhi help kar sakti hain. Kai saare contraceptive tareeke, jaise IUD ya birth control pills, use karne ke liye tumhein ek lady doctor se prescription lena ya checkup karaana zaroori hai.
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
How to Avoid Pregnancy, When to Take a Test, and More
9 types of contraception you can use to prevent pregnancy (with pictures!) | Queensland Health
Birth Control Pills | The Pill | Contraceptive Pills
What's the difference between the morning after pill and bc? - Nurx™™
Birth Control Pill: Contraception, The Pill, Effectiveness, Types.
Birth Control Pills (Oral Contraceptives) vs. Plan B (Levonorgestrel)
Also Read : Period Ke Time Pe Sex Karna Chahiye Ya Nahi?