Chhaa Jaa ke blogs ab padhiye Hindi mein bhi. Kahan? Issi page par neeche scroll karke!
Pregnancy ke dauraan humaari body kai saari changes se guzarti hai - physically aur mentally. Lekin kiss tarah ke changes? Chalo pata karte hain.
Pregnancy ke early symptoms conception yaani garbh dhaaran - jisko baccha theharna bhi kehte hain - iske ek se do hafte baad shuru ho sakte hain. Common symptoms hain pet mein dard yaani cramps, morning sickness, constipation, cravings, moody hona, indigestion, constant urination, peeth mein dard, adhik thakaan, chakkar aana, sensitive breasts, etc.
Pregnancy ke period ko normally 3 phases mein divide kiya jaata hai: first, second aur third trimester.
First trimester, pregnancy ke pehle week se 12th week tak ka hota hai. Iss dauran ek ladki normally inn changes ko mehsoos karti hai:
Second trimester 12th week se 26th week tak ka hota hai. Second trimester mein neeche diye gaye changes usually experience kiye jaate hain:
Third trimester 27th week se childbirth tak ka hota hai. Iss period mein ek ladki normally inn changes ko mehsoos karti hai:
Pregnancy ke dauraan sex karna bilkul safe hai. Isse baby ko koi takleef nahi hoti hai. Kai situations mein pregnancy ke end mein sex, mild contractions ya Braxton Hicks bhi trigger kar sakta hai. Par agar lady doctor ne tumhein sex karne se mana kiya ho toh isse avoid karna best hota hai.
Pregnancy ka phase humaare lifetime ka sabse unique phase hota hai jisme time to time ek lady doctor se consult karte rehna bahot important hota hai. Ek lady doctor tumhaare pregnancy se jude kisi bhi problem mein tumhaari help kar sakti hai.
प्रेग्नेंसी के दौरान हमारी बॉडी कई सारे चैंजेस से गुजरती है - फिजिकली और मेंटली। लेकिन किस तरह के बदलाव? चलो पता करते हैं।
प्रेगनेंसी के शुरुआती लक्षण गर्भ धारण - जिसको बच्चा ठहरना भी कहते हैं - इसके एक से दो हफ्ते बाद शुरू हो सकते हैं। आम लक्षणों में ऐंठन, मॉर्निंग सिकनेस, कब्ज, लालसा, मूडी होना, अपच, लगातार पेशाब आना, पीठ में दर्द, अधिक थकान, चक्कर आना, संवेदनशील ब्रेस्ट्स आदि हैं।
प्रेगनेंसी की अवधि को सामान्य रूप से 3 चरणों में विभाजित किया जाता है: पहली, दूसरी और तीसरी तिमाही।
फर्स्ट ट्राइमेस्टर, प्रेगनेंसी के पहले सप्ताह से 12वें सप्ताह तक का होता है। इस दौरान एक लड़की नॉर्मली इन चेंजेस को महसूस करती है:
सेकेंड ट्राइमेस्टर 12वां सप्ताह से 26वां सप्ताह तक का होता है। सेकेंड ट्राइमेस्टर में नीचे दिए गए परिवर्तन आमतौर पर अनुभव किए जाते हैं:
थर्ड ट्राइमेस्टर के 27वें हफ्ते से चाइल्ड बर्थ तक का होता है। इस पीरियड में लड़की इन चैंजेस को महसूस करती है:
रिलैक्स भी रखती है।
प्रेग्नेंसी के दौरा सेक्स करना बिलकुल सेफ है। इससे बेबी को कोई तकलीफ नहीं होती है। कई स्थितियों में प्रेगनेंसी के अंत में सेक्स, माइल्ड कंट्रक्शन या ब्रेक्सटन हिक्स भी ट्रिगर कर सकते हैं| पर अगर लेडी डॉक्टर ने तुम में सेक्स करने से माना किया हो तो नहीं करना सबसे अच्छा होता है।
प्रेग्नेंसी का फेज हमारे लाइफटाइम का सबसे अनोखा फेज होता है जिसमें टाइम टू टाइम एक लेडी डॉक्टर से कंसल्ट करते रहना बहुत जरूरी होता है। एक लेडी डॉक्टर तुम्हारी प्रेग्नेंसी से जुडी किसी भी प्रॉब्लम में तुम्हारी मदद कर सकती है।
Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:
Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/
Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa
Youtube - https://www.youtube.com/c/ChhaaJaa
Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392
Sources:
Pregnancy stages and changes - Better Health Channel
What Happens During the Trimesters of Pregnancy?
Sex in pregnancy - NHS.