Kya Sabke Periods Ek Hi Age Par Aate Hain?

Girl Gang


First period, jisko doctors ‘menarche’ bhi kehte hai, har ek ke liye ek exciting aur stressful experience ho sakta hai. First periods ko lekar hum sab ke dimaag mein bahot saare sawaal aate rehte hain. Periods kya hain, kyun, kaise, aur kab hote hain. Chalo aaj tumhaare sabse basic aur important sawaalon ke jawaab dete hain.

Periods Kyun Hote Hain?

Periods humaari body ke hormones mein badlaav aane ke kaaran hote hain. Humaari ovaries jab oestrogen aur progesterone release karti hain, ye female hormones humaare uterus, yaani garbhashay, mein ek lining yaani endometrium banana shuru kar dete hain. Endometrium humaare uterus ko pregnancy ke liye taiyaar karti hai. Humaari ovaries se release hua egg cell fallopian tubes se hote hue uterus mein pahonchta hai, aur fertilise naa hone par ye egg aur uterus lining toot kar periods ke form mein humaare body se bahar nikal jaate hain.

First kuch periods tak cycle regular nahi hona normal hai. Ya toh kisi ke ek mahine mein do periods ho sakte hain ya phir do teen mahine mein sirf ek. Aur ye periods mein irregularities periods shuru hone ke 1 se 2 saal tak reh sakti hain.

Uterus Lining

Periods Kis Age Mein Shuru Hote Hain?

Jis tarah hum sab ki bodies alag alag hoti hain, usi tarah humaare periods se jude experiences bhi alag alag hote hain. Aur thik usi tarah, humaare periods bhi alag alag time pe shuru ho sakte hain. First time bleeding humaari puberty ke dauraan hoti hai jo ladkiyon mein 8 se 13 saal ke beech shuru ho jaati hai.

First period aksar puberty shuru hone ke kareeb 2 saal baad shuru hota hai. Humaare periods kai saare internal aur external factors ke upar bhi nirbhar karte hain jaise environment, family ki history, weight etc. Aam taur par ek ladki ki first period 10 se 15 saal ke beech hoti hai, lekin ye bhi sirf ek average age hai. Kai ladkiyaan apna first period 8 saal ki age mein aur kai 16 saal ki age mein experience karti hain. Aksar vaginal discharge shuru hone ke lagbhag ek saal baad aur breast tissue develop hone ke 2 saal baad periods shuru hone lag jaate hain.

Puberty changes in body

Periods ek ladki ke body mein har mahine hone waali ek process hai jisme body mein kai saare hormonal changes aate hain. Periods aam taur par ek ladki ki puberty shuru hone ke kareeb 2 saal baad shuru hote hain. Period shuru hone ki age har ladki ki body, environment, genes jaise factors ke upar nirbhar karti hai. Agar tumhein periods se jude aur sawaal poochne hain, toh tum apni mummy, didi, teacher, ya lady doctor se bejijhak baat kar sakti ho.

Chhaa Jaa ke saath bane rehne ke liye humein follow karein:

Instagram - https://www.instagram.com/chhaajaa/

Facebook - https://www.facebook.com/chhaajaa

Youtube - https://www.youtube.com/results?search_query=chhaa+jaa

Aur humara girls only facebook group join karna matt bhoolna, jahan full on friends ke saath har time bakbak chalti rehti hai - https://www.facebook.com/groups/667075420473392

Sources:

All About Periods (for Teens) - Nemours KidsHealth

What Age Do Girls Get Their Period?